Topics

BIBI YAMAMA BATOOL (R.A)

Hazrat Bibi batool hafiz quran theen ghar mein bachiyon ko quran pak ki taleem deti theen. Maienay o mafhuum par khud bhi tafakar kartin aur bachiyon ko bhi quran ka mafhuum samajhtee theen. Bachon se bohat ziyada pyar karti theen.

Aik raat khawab mein Bibi batool ko Rasool  (s.a.w) ki ziyarat naseeb hui, dekha ke aik bohat barray maidan mein jis ke charon taraf sabza zaar aur khait thay. Aap (s.a.w) ne bajmaat namaz parhai. Muqtadi sab ki sab khawateen theen. Hi sab se pichli saf ke wast mein khari theen. Jab Syedna Huzoor  (s.a.w) ne sajda kya to sajda ki haalat mein yamama batool rengti hui Aap (s.a.w) se aik qadam peechay pahonch gayeen. Huzoor  (s.a.w) jab sajda se utthay to yamama bilkul Aap (s.a.w) ke peechay khari theen. Aap (s.a.w) ne salam phera aur dua farmai, unhon ne ameeen kaha aur phir Aap (s.a.w) ne 33 daano wali sabz rang ki tasbeeh inhen ataa farmai aur khud apne aik saathi ke hamrah khaiton ki taraf tashreef le gaye.

Yamama batool nihayat maheman nawaz , sakhi aur fayaz theen. Un ke ird gird khawateen ka hajhoom rehta tha. Aik dafaa khawateen ko dars dete hue farmaya :

'' Roye zameen par insaan ko hadaayat sirf Allah ki kitaab quran pak se mil sakti hai. Quran pak taskhiree farmolon ka khazana hai, jitni zehni tawajah aur ikhlaas se hum un ko talaash karen ge itnay hi khazanay hum par munkashif ho jayen ge, quran kareem ko azm, walwalah aur himmat ke sath pardhaee ke is ki noorani kirnoon se hamari zindagi sanwar jaye. Quran aaina ki terhan aap ke andar har daagh aur har dhabba numaya kar ke dekhata hai, quran aik aisi enciclopideya hai jis mein har choti se choti aur barri se barri baat o sifaat ke sath bayan kar di gayi hai.

Sayedna (s.a.w) ne yeh basharat di hai ke

'' Quran pak parhnay walon se qayamat ke roz kaha jaye ga ke jis thehrao aur khush il hani se tum duniya mein bana sanwaar kar quran parha karte thay isi terhan quran pak ki tilawat karo aur har aayat ke sila mein aik darja buland hotay jao tumhara thikana tumhari tilawat ki aakhri aayat ke qareeb hai.' '

Hikmat O Danayee

* jo qoum quran se faida uthana chahti hai quran is ki rahnumai karta hai aur jo qoum quran se faida uthana nahi chahti. Quran is ki rahnumai nahi kata aur aisi qoum ko Allah is ke haal par chore deta hai.

Topics


101 AULIA ALLAH KHAWATEEN (Roman)

KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI