Topics

MAAI NOORI (R.A)

Maai noori ghair muslim khatoon theen, Hazrat bo ali shah qalandar ki barri aqeedat mand theen. Aap ne ishhq mein ghar baar, aziz o iqareb ko kher baad keh kar islam qubool kar liya. Aksar khawab mein Hazrat bo ali shah qalandar ki ziyarat hoti thi. Jab ishhq aur lagan barhi to khwahish hui ke qalandar sahib khawab ke bajaye baydaari mein nazar ayen. Qalandar sahib ne basharat di ke nagpor chali aao.

Maai sahibaa nagpor poanch gayeen. Hazrat Baba Tajuddin ne maai noori ke pounchanay se pehlay hazreen se farmaya :

'' Chalo re hamari jogan aa rahi hai.' '

Hazrat Baba Tajuddin station ki taraf rawana hue aur kuch faaslay par ruk gay. Maai sahibaa station se rawana huien. Jaisay hi Baba Tajuddin par nazar pari wahein se jhukti hui khidmat mein pohanchi, maai noori bilkul noorani ho gayi theen aur silsila naksha bandah mein baet theen.

Visale ke baad maai noori ko karachi ke aik bohat barray buzurag Hazrat Abdullah Shah Ghazi ke qareeb jagah mili.

Hikmat O Danayee

* Har ensaan apni seerat se pehchana jata hai, seerat ki jarrain ikhlaqi qadron se nashonuma paati hain.

* ensaan ke dil mein shakhsi taamer ka azm ho to imarat khud-bakhud khari ho jati hai.

* jab ensaan baatini hawaas ka idraak kar laita hai to khawab aur baydaari dono halatain is ke liye yaksaa ho jati hain.

* Allah walay ya Allah wali ki pehchan yeh hai ke is ke paas bethnay se dil Allah ki taraf mutwajjah ho jata hai.

Topics


101 AULIA ALLAH KHAWATEEN (Roman)

KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI