Topics

Hamaray Danishwer

Jab kisi maslay ko hal karne ke liye tafakkar kya jata hai to bohat si aisi batain shaoor par ubhar aati hain jin ka tajzia agar kya jaye to bohat talkh haqayiq samnay atay hain.

Quran kareem kehta hai ke Allah ney har cheez jorey jorey banai hai aurat mard ka libaas hai aur mard aurat ka libaas hai.

Danishwer kehte hain ke aurat ko mard ki udasi kam karne aur is ka dil khush karne ke liye peda kya gaya hai. Bilashuba yeh khuli na insafi aur ahsaan faramoshi hai. Nashukri aur naansafyon ka radd amal bhayanak aur alamnaak hota hai. Duniya ke aloom se aaraasta danish vron ke faislay ko hum kam aqli par mabni qarar day satke hain. Magar jab hum yeh dekhte hain ke rohani aloom ke silsilay mein bhi aurat ko nazar andaaz kya gaya hai to dimagh maoof aur aqal pareshan ho jati hai.

Topics


101 AULIA ALLAH KHAWATEEN (Roman)

KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI