Topics

Mohar Ki Raqam Kitni Honi Chahiye

Hadia Aljalduwal  "kitaab sakatou almaal'' mein likha hai ke daur nabi (s.a.w) mein dinar das darham ke barabar tha. Hazrat Khadija, Hazrat Aisha aur Hazrat Maimuna ka mohar paanch so darham yani pachaas dinar tha.

Pachaas dinar, paanch so pichatar (575) gram sonay ke barabar hain. Paanch so darham ka matlab aadha klov aur pichatar gram sona hai.

Hazrat Khadija ka mohar mojooda daur ki maliyat ke mutabiq aadha klov pichatar gram sona tha jo pakistani zar e mubadla mein teen laakh paintalis hazaar ( 345, 000 ) rupay hai.

Hazrat Aisha ka mohar bhi aadha klov pichatar gram sona tha jis ki maliyat teen laakh paintalis hazaar rupay banti hai.

Hazrat Maimuna ka mohar bhi teen laakh paintalis hazaar rupay tha.

Allah ke mehboob nabi mukaram Hazrat Mohammad Rasool  (s.a.w)  ki lakht jigar, Hazrat Bibi Fatima ka mohar chay so darham tha. Jis ka wazan aadha klov aadha pao aik chitank pandrah gram sona bantaa hai. Itnay wazan sonay ki maliyat, pakistani currency mein, chaar laakh ikees hazaar paanch so ( 421, 500 ) rupay hai.

( 1. Daur e nabi (s.a.w) ka nizaam hukoomat  -Tarjuma al tarteeb al adari- Allama abdalhyi katafi, 2-tazakrey sahabiyat. Taleef : taalib  al hashmi 3, 3- Islam ke muashi nzriye. Dr mahmood yousuf aldeen ,4- Ibn khalideen, 5- almahsaneyat al sultaniyah, 6-alnuqood alslamih-Taqi aldeen ahmed al makr nabri  - Matboa qstntnih )

Topics


101 AULIA ALLAH KHAWATEEN (Roman)

KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI