Topics

Aurat Ko Bhaint Charhana

Hindostan ke aksar sobon mein dastoor tha ke aurton ko mandir ki pasbani ke liye waqf kar diya jata tha. Woh bzahir pak daman aur muqaddas theen lekin dur parda bihchroun mahtamou aur yatrion ka un ke sath acha sulooq nahi tha. Mandir mein devtaon ke samnay aurat ki qurbani ki jati thi.

Jab koi shakhs karzz daar ho jata tha to karzz ki adaigi mein apni biwi ko day diya karta tha. Aur jab raqam ada ho jati thi to aurat ko wapas le aata tha. Raje mharaje juye mein apni biwion ko haar jatay they.

( tareekh hind. Musanifa. Pandit radha krishan )

Hindostan ke sobon mewat, rajpot aur marwarh mein aurton ki haalat itni buri thi ke tazkara karte hue sharam aati hai. Marwarh ke aik khandan mein chaar bhaiyon ki aik hi biwi thi.

Hinduo ke aik barray buzurag ka qoul hai ke aag ke sharare aur zahreela saanp yaqeenan ensaan ke dushman hain lekin aurat un sab se barh kar dushman hai. Aik samjhd ar aadmi holnaak selaab se bach sakta hai aur zahreeley saanp ke katay ka ilaaj kara sakta hai lekin aurat ki chalaki aur ayyari se bachna mahaal hai. Aurat is qabil nahi ke is par bharosa kya jaye aur is ko raaz daar banaya jaye.

Hindostan mein bewa aurat doosri shadi nahi kar sakti thi. Bachpan mein hi larkiyon ki shadi kar di jati thi. Rukhsati se qabal agar shohar mar jata to larki saari umar bewa ban kar zindagi guzaarne par majaboor thi. Bewa hona bad naseebi ki alamat qarar day di gayi thi. Bistar par aur charpayee par sonay ki ijazat nahi thi. Khana baghair namak mirch ka sirf' ' pani ka shorba' ' hota tha. Zewar aur rangeen kapray pehnana aur khusbhoo lagana mamnoo tha. Ehad wasti mein bewa ke balon ko mondh diya jata tha aur martay dam taq woh sir par astra phiruni par majaboor thi.

Topics


101 AULIA ALLAH KHAWATEEN (Roman)

KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI