Topics
Danishwer kehte hain ke Allah Taala
nua e insani ki falah o behbood ke liye jitne nabi beje hain woh sab
mard hain. Allah ne aurat ko nabi nahi banaya. Yeh daleel bhi paish ki jati hai
ke ' 'Agar aurat mein ilmi fazeelat hoti to usay paighambar ka aizaz zaroor
haasil hota.' '
Har zee feham insaan is baat ka idraak rakhta hai ke anbia
karaam(a.s) Nua e insani ko achhai aur
buraiee ke tasawwur se aagah kiya hai. Fitrat aliha ke mutabiq unhon ne tamam
qaiday aur zaabtay insaan ko bata diye hain. Jab hum lafz insaan boltay hain to
is se morad aurat aur mard dono hain. Aurat bhi mukammal insaan hai. Is mein
bhi noo insani ki har salahiyat mojood hai.
Muashray mein jab buraiyan nakiyon se tajawaz kar gayeen aur har
simt shaitaniyat phail gayi to Allah
Taala ne nabi Maboos farmaiye. Nabi Un
Aqwam par beje gaye jin aqwam ne qawaneen fitrat se inhiraf kya aur haq aur
sadaqat ke bajaye kufar o shirk ikhtiyar kya.
Saat hazaar qabal maseeh tak tareekhi hawalay se zameen par aurton
ki hukmarani ke assaar mlitay hain. Is nizaam ko maadri muashra kaha gaya. Is
nizaam mein insaan fitrat aur jibillat ki rahnumai mein masharti qadron ka
paband tha.
Poooray nizaam par aurat ki girift mazboot thi phir nasli taasub,
siyasat aur sazishon se aik bara inqilab aaya aur maadri nizaam ki jagah' '
pidrana nizaam' ' raaij ho gaya.
Nabi ki tareef aur wahi
Nabi woh hota hai jis par wahi nazil ho aur woh wahi ke mafhuum ko
samjhta ho.
Wahi ke lafzi maienay hain.
1. Ishara karna. 2. Pegham bhejna. 3. Ilham yani dil mein koi baat
daalna
4. Makhfi kalaam. 5. Makhfi ya ghaibi aawaz. 6. Makhfi tareeqay se
koi baat samjhna