Topics

AMMA JEE (R.A)

Aap barri ibadat guzaar, parhaiz gaar, som o salaat ki paband aur tohjdguzaar theen, ramadaan ke alawa  nfli rozay kasrat se rakhti theen, duroood shareef kasrat se parha karti theen.

Jab un ka beta faut ho gaya to bohat udaas rehne lagi theen. Khawab mein Syedna Huzoor  (s.a.w) ki ziyarat naseeb hui. Aap (s.a.w) ne

ramaaya:

'' Ranjida nah ho Allah tumhe saadat mand beta ataa farmaiye ga.' '

Jab betay ki wiladat hui to aap ne is ki taleem o tarbiyat par khaas tawajah di. Betay ko shoq hua ke Aap (s.a.w) ka deedar kere, betay ne maa se is qalbi khwahish ka izhaar kya. Amma bi ne parhnay ke liye aik dua bta di. Kehte hain ke betay ne jumaraat ki shab khawab mein dekha ke walida farma rahi hain ke mein tumahray intzaar mein hon, aao tum ko khidmat ikdaas (s.a.aw) mein paish karoon, mera haath pakar kar in hazart (s.a.w) ki khidmat mein le gayeen, mein ne dekha ke charon taraf log kharray hain aur Rasool  (s.a.w) kuch likhwa rahay hain aur woh log likh kar atraaf aalam mein bhaij rahay hain.

Meri walida ne Huzoor (s.a.w) ki khidmat mein haazir kya ke ya Rasool  (s.a.w)  yeh mera wohi beta hai jis ki aap ne basharat di thi, Rasool (s.a.w) meri taraf dekh kar muskuraye aur farmaya :

'' Haan yeh wohi larka hai.' '

Hikmat O Danayee

* Doosron ki islaah ke liye is waqt kuch kya ja sakta hai jab aadmi khud sahib amal aur sahib kirdaar ho.

Topics


101 AULIA ALLAH KHAWATEEN (Roman)

KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI