Topics

HAZRAT FATIMA KIZROYA (R.A)

Hazrat Bayazeed Bistami ki bohat aqeedat mand theen.Har waqt yaad ellahi mein masroof rehti theen.

Aik martaba Hazrat Bayazeed Bistami  ke mazaar par ziyarat ke liye gayeen aur muraqba mein baith gayeen. Muraqba se farigh huien to paas baithy hue logon se kaha :

'' Tum jantay ho Hazrat bayazeed kon hain ?' ' sab ne kaha. Aap behtar janti hain.

Hazrat Fatima ne kaha :

'' Aik martaba jab mein khanah kaaba ka tuwaf kar rahi thi. Thak kar baith gayi aur neend aa gayi. Mein ne khawab mein dekha ke farishtay mujhe arsh par le gay. Wahan aik wasee maidan hai jis mein sunbal aur vtan ke phool khulay hue hain. Aur har patti par' ' bayazeed hamara dost hai' ' likha hua hai.' '

Hikmat O Danayee

* agar rehman ki qurbat chahtay ho to rehman ki aadaat o sifaat ikhtiyar karo aur rehman ki sift yeh hai ke woh makhlooq ki khidmat karta hai.

* dost ka dost bhi dost hota hai. Anbiaye ka tarz amal ikhtiyar karne wala bandah ya bandi anbiaye ki dost hai aur anbiaye ke dost Allah ke dost hain.

Topics


101 AULIA ALLAH KHAWATEEN (Roman)

KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI