Topics

BIBI SAEEDA (R.A)

Bibi saeeda apne daur ki rabia basri theen. Riyazat aur mjahde mein un ko kamaal haasil tha. Aap farmaati theen :

'' Dil ki aankh khil jane se bandah momin ke darjay par faiz ho jata hai. Dil ki aankh se dekhna haqeeqat hai aur zahiri aankh se dekhna fraib nazar hai.' '

Aik sukh aurat ne aap se kaha :

'' Mera beta bemaar hai, marz kisi ki samajh mein nahi aa raha. Aap meri madad karen.' '

Bibi saeeda ne kuch der muraqba kar ke larke ki maa se kaha :

'' Tumahray betay ki anton mein chhootey chhootey sorakh ho gaye hain. Tabeb ko ja kar batao ke woh is marz ka ilaaj kere, ilaaj ke baad larka sehat yab ho gaya.

Bibi saeeda apni rohani salahiyaton se marz ki tashkhees mein mahaarat rakhti theen.

 

Hikmat O Danayee

Dil ki aankh khil jaye to khawateen bhi momina ke darjay par faiz ho jati hain.

* dil ki aankh se dekhna haqeeqat aur zahiri aankh se dekhna fraib nazar hai.

Topics


101 AULIA ALLAH KHAWATEEN (Roman)

KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI