Topics

BIBI AL KANZA TABRAIZ (R.A)

Bibi Al Kanza  Tabraiz ne aik isaai gharane mein aankhh kholi, ghareeb qabeeley se talluq tha. Aap ke waalid toheed parast they aur aksar un ko bash’shartein hoti theen. Baap ki yeh sift Bibi Al Kanza  Tabraiz mein bhi muntaqil hui.

Bibi Al Kanza  Tabraiz raton ko ibadat mein masroof rehti theen. Un ki shakal purnoor barasta tha. Aahista aahista baap aur beti dono ki buzurgi ke charchay aam ho gaye, pareshan haal makhlooq un ki jhonpari ke qareeb jama honay lagi. Bibi Al Kanza  Tabraiz un logon ke liye dua karti theen aur Allah Taala  logon ki muradain poori kar dete they.

Chand banjh aurtain un ke paas ayen aur giryaa zaari karne lagen ke un ke shohar sokan le ayen ge. Bibi Al Kanza  Tabraiz par khawateen ki aah o zaari ka bohat assar hua raat ko unhon ne Allah Taala  se dua ki, achanak un par ghunodghi taari ho gayi sara mahol noorani ho gaya, nihayat muattar bheenie bheenie khusbhoo phail gayi aur aik jallel al-qadar khatoon nazar ayen, khatoon ne nihayat dil aawez muskurahat se kaha :

''Kanza! Mein Bint E Rasool (s.a.w) hon, tumhari Allah parasti aur makhlooq khuda  ki bhalai hamein pasand aayi, tumahray amal mein ikhlaas hai. Be aulaad aur banjh aurton ke liye is jungle mein aik booti hai jis ke har pouday mein paanch shaakhen, har shaakh par chodan pattay hain is booti ke pattoun, jaroon aur phoolon ko shehad mein mila kar banjh aurton ko khula day.' '

kanza! Nah lotana kisi sawali ko apne ghar se khaali haath wapas.' '

Aglay din subah Bibi Al Kanza Tabraiz jungle mein se booti talaash kar ke le ayen aur zaroorat mand khawateen ko yeh booti day di. Is terhan waqt guzarta raha, Bibi Al Kanza  Tabraiz khuloos ke sath khuda  ki ibadat mein mashgool rahen hamesha yeh dua kartin ke

'' Ae khuda ! Is jungli qabeeley mein meri madad kijiyej, mujhe apne pasandeeda bundon mein shaamil kijiyej aur mujhe apna qurb ataa farma dijiye.' '

Allah ne aap ki dua qubool ki.

Khawab mein ghaibi aawaz ne hukum diya :

'' Yahan se nikal jao hum tumhari madad karen ge.' '

Aankhh khultay hi jhonpari se nikal parrin. Jungle biyabaan mein safar kya. Bil akhir aik musalman qabeeley mein poanch gayeen aur islam qubool kar liya.

Khawateen joq darjoq un ki ziyarat ko ayen qabeeley mein jashnn manaya gaya, sab logon ne aap ko khuloos aur mohabbat se apne qabeeley mein shaamil kar liya. Aap ne nasiyaat ki :

'' Allah har jagah mojood hai.' '

Kaafi arsa taq bastii ke logon ne aap se faiz paaya, bil akhir aik din kahin aur chali gayeen aur phir un ka kahin koi pata nah chala.

Topics


101 AULIA ALLAH KHAWATEEN (Roman)

KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI