Topics

Aath Larkiyan

Rasool  (s.a.w)  ko 1 shakhs ne bataya meri bachi jo mujh se mohabbat karti thi mein ne usay kunwein mein pheink diya tha halaank woh' ' abba abba' ' pukar rahe thi. Qais ban asim ne zamana jahliat mein aath larkiyon ko zindah dafan kya.

Arbo mein dastoor tha ke jab tak khawand zindah rehta biwi is ke ehkaam baja latayen. Is ke marnay ke baad is ke waris usay apni waarsat mein le letay thay. Aur kisi dosray se is ki shadi kar dete thay. Shadi kar ke mohar ki raqam khud haasil kar letay thay. Agar bewa aurat maldaar hoti to is ki shadi nahi honay dete thay taa ke doulat un ke qabza mein rahay. Yateem maskeen larki ko baaligh honay tak apne paas rakhtay aur phir khud ko nikah kar letay thay. Is mein mard ki umar ki koi qaid nahi thi.

Rasool  (s.a.w)  ki bassat se pehlay aurat mard ke zulm o sitam ki chuki mein har roz pasti thi, roz jeeti thi, roz maarthi thi. Aurat ke nan nafqa ki koi zimma daari mard par nahi thi. Mard haq waarsat se aurat ko mahroom kar sakta tha. Jabkay khud biwi ki malkiat ka haq daar tha. Aurat khud apni kamaai apne oopar azadana kharch karne ka haq nahi rakhti thi. Aurat ko yeh haq haasil nahi tha ke woh shohar ka ghar chore kar chali jaye khuwa woh kitna hi is par zulm karta ho. Qadeem europi qanoon ne aurat ko mard ki malkiat qarar diya hai.

Topics


101 AULIA ALLAH KHAWATEEN (Roman)

KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI