Topics

BINT SHAH BAN SHUJA KARMANEY (R.A)

Bint Karmaney aik naik dil badshah ki sahebzadi theen. Naik dil baap ny aik farishta sift ghareeb nojawan se aap ki shadi kar di. Shadi ke baad shohar ke ghar mein rootti dekhi to poocha :

'' Yeh kya hai ?' '

Shohar ny jawab diya :

'' Yeh rootti roza aftaar ke liye hai.' '

Bint shah ny rootti ka woh tukda parindon ko daal diya aur shohar se kaha :

'' Tum kaisay zahid ho ke tum ny aftaar ke liye rootti rakhi hui hai.' '

Shohar ny nedamat ke sath apni kamzoree ka aitraaf kya.

Bint shah ny khawateen ki tarbiyat ke liye ghar ko madrassa banaya hua tha. Khawateen ki barri tadaad dors mein haazir hoti thi.

Aik martaba khangi masail par dars dete hue farmaya :

'' Syedna Huzoor aleh salatoh salam ny farmaya hai :

'' Jo aurat paanch waqt namaz ada kere. Ramadaan ke rozay rakhay. Apni aabaroo ki hifazat kere aur shohar ko raazi rakhay. Usay ikhtiyar hai ke jis darwazay se chahay jannat mein chali jaye.' '

Shohar ki hesiyat se ziyada kharch nah mango. Be ja frmayshin nah karo. Kisi baat par zid nah karo. Shohar aur bachon se baat karne mein miyana rawi ikhtiyar karo. Is amal se ghar ka mahol khushgawar rehta hai. Aur bachon ki tarbiyat achi hoti hai.

Hikmat O Danayee

* jis ka khuda  par bharosa nah ho woh deen aur duniya mein pareshan rehta hai.

* achi aur naik biwi khawand ko jannat se qareeb kar deti hai.

* ghalti tasleem kar ke maffi maang lena nihayat aala kirdaar hai.

Topics


101 AULIA ALLAH KHAWATEEN (Roman)

KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI