Topics

HAZRAT UUMM MOHAMMAD (R.A)

Hazrat umm mohammad sheikh abbu abdullah khafeef ki walida majida theen. Betay ke sath samandari rastay se hajj ko gayeen. Sheikh abbu abdullah ramadaan ke aakhri ashray mein baydaari karte aur ibadat ellahi mein mashgool rehtay. Hazrat uumm mohammad ghar ke aik konay mein moatakef  theen, dafa’tan

Shab qader ke anwaar o tajaliyaat  aap par zahir hue. Aap ne betay ko aawaz di :

'' Ae mohammad ! Jo tum wahan talabb kar rahay ho yahan mojood hai.' '

Sheikh abdullah tajaliyaat  ellahi se maamoor kamray mein daakhil hue aur walida ke qadmon mein gir gay.

Hikmat O Danayee

* Naik maa anwaar o tajaliyaat  ka aks hai. Huzoor Akram (s.a.w) ne farmaya. Jannat maa ke qadmon mein hai.

* Walidain ki shukar guzari aur ahsaan mand hona saadat aur naik honay ki alamat hai.

Topics


101 AULIA ALLAH KHAWATEEN (Roman)

KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI