Topics

Aurat Aur Mard Ke Yaksaa Haqooq

Qudrat ne insani shaoor ko fitrat ke mutabiq ilm o feham se aarasta kya hai. Pehlay paighambar Hazrat Adam (a.s) Se le kar aakhri nabi Hazrat Mohammad Rasool  (s.a.w)  tak zameen par aik laakh chobees hazaar paighambar tashreef laaye. Tamam payghambaroon ne islam aur deen haq ki tableegh ki. Har paighambar ne toheed ka parchaar kya aur logon ( aurton aur mardon ) ko shirk aur buut parasti se mana kya. Quran se pehlay ki aasmani kitabon aur saheefon mein haq o sadaqat hi ki baatein duhrai gayi hain.

Rasool  (s.a.w)  ka irshad pak hai :

'' Mein koi nai baat nahi keh raha hon. Mein wohi kehta hon jo mere bhai payghambaroon ne kaha hai.' '

Har aasmani kitaab ne aurat aur mard ko yaksaa haqooq ataa kiye hain.

Quran kareem mein irshad hai.

'' Be shak musalman mard aur musalman aurtain aur imaan walay aur imaan waliyan aur farmanbardar mard, farmanbardar aurtain, sachey mard, sachhi aurtain, sabr karne walay mard, sabr karne wali aurtain aur aajzi karne walay mard, aajzi karne wali aurtain, khairaat karne walay mard, khairaat karne wali aurtain, rozay rakhnay walay mard, rozay rakhni wali aurtain, apni asmton ki hifazat karne walay mard, apni asmton ki hifazat karne wali aurtain aur Allah ko bohat yaad karne walay mard aur Allah ko bohat yaad karne wali aurtain un sab ke liye Allah Taala  ne bakhshish aur bara ajar tayyar kar rakha hai.' '

( surah ahzaab : 35)

Topics


101 AULIA ALLAH KHAWATEEN (Roman)

KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI