Topics

KANEEZ FATIMA (R.A)

Kaneez Fatima aik siyah faam kaneez theen. Hazrat Zulnun Misri ne dekha ke larke inhen pathar maar rahay hain aur keh rahay hain ke

'' Yeh be deen hai kehti hai mein Allah ko dekhatii hon.' '

Hazrat Zulnun Misri un ke peechay peechay veraney mein gaye to Kaneez Fatima ne aawaz di :

'' Ae Zulnun! Hazrat Zulnun Misri ne heran ho kar poocha :

'' Tum ne mujhe kaisay pehchan liya ?' '

Bibi Kaneez ne kaha :

'' Allah ke dost is ke sipahi hain aik dosray ko pehchante hain.' '

Hazrat zulnun ne poocha :

'' Bachay kehte hain ke tum kehti ho ke mein Allah ko dekhatii hon ?' '

Bibi kaneez ne kaha :

'' Woh sach kehte hain. Jab se mein ne Allah ko pehchan liya hai woh kabhi mujh se parday mein nahi raha.' '

Hikmat O Danayee

* Allah ke dost is ke sipahi hain jo aik dosray se waaqif hain.

* jab bandah ya bandi Allah ko pehchan layte hai to Allah parday mein nahi rehta.

* Allah rigg jaan se ziyada qareeb hai.

* Allah ne har cheez ko ihata kya hua hai.

* Allah ibtida hai. Allah intahaa hai. Allah zahir hai. Allah batin hai.

Topics


101 AULIA ALLAH KHAWATEEN (Roman)

KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI