Topics
Aap ka talluq baghdad se tha. Muhadisa , alima , feqihh, zahida aur
waaza theen. Rasool (s.a.w) ke aloom ki amin theen. Qanaat pasand theen.
Makhlooq ki khidmat se khush hoti theen. Ikhlaas o amar balmarof ke awsaf ki
haamil theen. Bohat barri tadaad mein khawateen ne un se ilm haasil kya. Masail
ke hal ke liye khawateen daur daraaz se un ke paas aati theen. Hazrat Umm
Zainab Fatima khawateen ko wazifay talqeen karti theen. Khawateen un se is
qader be takalouf theen ke woh gharelo masail ke sath sath' ' parday ke masail'
' bhi pooch layte theen. Kisi khatoon ne' ' paki' ' ke baray mein istafsaar kya
to aap ne farmaya.
Makhsoos ayyaam mein khawateen ko masjid mein nahi jana chahiye.
Kaaba shareef ka tuwaf karna. Kalaam majeed ko chouna durust nahi hai. Kapray
mein lapait kar chouna aur uthana sahih hai. Allah Taala ne namaz rozay se azad kar diya hai lekin
roza ki qaza wajib hai.
Nafli ya farzi rozay ke douran' ' ayyaam' ' shuru ho jayen to roza
toot jata hai.
Douran ayyaam shohar' ' intehai qurbat' ' sahih amal nahi hai. Agar
aurat sehri ke intehai waqt mein bhi pak ho gayi tab bhi roza rakhna wajib hai.
Albata ghusal roza rakhnay ke baad subah ke waqt kya jata hai.
Bacha ki paidaiesh ke baad jo ratobat kharij hoti hai usay' '
nafas' ' kehte hain. Jis ki muddat ziyada se ziyada chalees din hai. Kam se kam
koi had nahi. Agar kisi ko aik aadh din nfas aaya ya bilkul bhi nahi aaya to
nahana wajib hai. Agar nafas ke chalees din poooray ho gaye aur khoon aana band
nahi hua to woh istahsah hai. Pas chalees din ke baad neha kar namaz parhna
shuru kardey. Nafas band honay ka intzaar nah kere. Agar chalees din se pehlay
tabiyat sahih ho gayi to neha kar pak ho jaye. Agar ghusal karne se nuqsaan ka
andesha ho to tamim karkay namaz shuru kar day. Haalat nafoos mein namaz maaf
hai albata roza maaf nahi hai.
Hazrat Umm Zainab tohajud guzaar khatoon theen. Namaz mein huzoor
qalb ho jata tha. Aur inhen martaba ahsaan haasil tha. Rasool (s.a.w)
ka irshad graami hai ke momin ko martaba ahsaan haasil hota hai. Martaba
ahsaan yeh hai ke tum Allah ki ibadat is terhan karo ke goya tum Allah ko dekh
rahay ho. Agar yeh nah ho to yeh mehsoos karo ke Allah tumhe dekh raha hai.
* duniya mein doulat se ziyada be wafa koi cheez nahi.
* har haal mein Allah ka shukar ada karna momin ka shoaar hai.
* yeh duniya maienay aur mafhuum ki duniya hai. Jo jaisay maienay
pehna deta hai is ke oopar waisay asraat muratab hotay hain.