Topics
Quran pak aik aisi kitaab hai jis mein
shak o shuba ki gunjaish nahi hai aur yeh kitaab un logon ko hadaayat bakhshti
hai jo mut-taqi hain aur mut-taqi woh log hain jo ghaib par yaqeen rakhtay hain
aur yaqeen ki intahaa yeh hai ke aadmi ke andar ki nazar khil jati hai aur
ghaib is ke liye mushahida ban jata hai. Jab tak mushahida amal mein nah aaye
yaqeen ki tareef poori nahi hoti. Quran pak aik aisi yakeeni dastaweez hai jis
dastaweez mein masharti qawaneen ke sath sath aisay formulay darj hain jin ke
oopar taskheer kaayenaat ka dar-o-madar hai. Un farmolon mein is baat ki poori
wazahat mojood hai ke hum ilm al-kitab haasil kar ke zaman o makaan yani time
and space ki girift ko toar satke hain. Quran pak ke aloom ko jan-nay wala aur
samajhney wala koi bandah baghair wasail ke khalaa mein parwaaz karne aur aik
jagah se daur daraaz doosri jagah kisi cheez ko muntaqil karne par qudrat
rakhta hai. Yahi bandah Allah ka inaam yafta hota hai. Asmano mein aur zameen
mein mojood tamam ashya is ke liye maskhar hoti hain.
Roye zameen par insaan ko agar
hadaayat mil sakti hai to sirf Allah ki kitaab quran pak se mil sakti hai.
Quran kareem ko is azm, is walwalah
aur is himmat ke sath prhhiye ke is ki noorani kirnoon se hamein apni zindagi sanwarni
hai. Quran aaiine ki terhan aap ke andar har har daagh aur har dhabba numaya
kar ke paish karta hai. Quran aik aisi encyclopedia hai jis mein har choti se
choti aur barri se barri baat wazahat ke sath bayan kar di gayi hai. Ab yeh aap
ka kaam hai ke aap quran pak mein bayan kardah nematon se kitna faida haasil
karte hain. Allah Taala farmatay hain :
‘‘ Kitaab jo hum ne aap
ki taraf bhaije barket wali hai taa ke woh is mein ghhor o fikar karen aur aqal
walay is se naseehat haasil karen.’‘
KHWAJA SHAMS-UD-DIN AZEEMI
UN SCINCEDANO KE NAAM
JO 15VEEN SADDI HIJIRI MEIN
MOJOODA SCINCE KA
AKHRI UROOJ DUNIYA
KI TABAHI DHEKH KAR
EK WAHID ZAAT
KHALIQ KAINAAT
ALLAH KI TAJALI KA
IRFAN HASIL KAR LEINGE