Topics
Khushi insaan ke liye aik tabee taqaza
aur fitri zaroorat hai. Islam yeh nahi chahta ke musalman masnoi waqar , ghair
fitri sanjeedgi, murda dili aur afsurdagi se qoum ke kirdaar ki kashish ko
khatam kar den. Islam chahta hai ke musalman buland houslon, nnat naye vlolon
aur nai nai umangon ke sath taaza dam reh kar apna waqar buland rakhen.
Qoum ke kisi fard ko ilm o fazl mein
kamaal haasil ho, koi aziz dost ya rishta daar daur daraaz ke safar se wapas
aaye, koi muaziz maheman aap ke ghar mein ronaqe afroz ho, shadi bayah ya
bachay ki wiladat ki taqreeb ho, kisi aziz ko Allah Taala sehat ataa karen, koi
khabar aisi ho jis mein islam ki fatah o nusrat ki khush khaberi ho, koi tehwar
ho to aisay tamam mawaqay par bharpoor khushi ka izhaar karna aik musalman par
farz hai. Islam nah sirf khush rehne aur khushi mananay ki ijazat deta hai
balkay is ko ain deendari qarar deta hai.
Hazrat aisha sadiqa farmaati hain ke
eid ka din tha. Kuch kaneezzein baithi ashaar ga rahi theen ke isi douran Hazrat
abbu baker tashreef le aaye. Bolay.’‘ Nabi s.a.w ke ghar mein yeh gana
bajana kaisa ?’‘
Nabi barhaq s.a.w ne farmaya.’‘
abbu baker! Rehne do. Har qoum ke liye tehwar ka aik din hota hai aur aaj hamari
eid ka din hai.’‘
aik martaba tehwar ke din kuch habshi baazigar
kartab dikha rahay thay. Aap s.a.w ne yeh kartab khud bhi dekhe aur Hazrat aisha
ko bhi dukhaay. AnHazrat s.a.w ne un bazigaron
ko shabash bhi di.
Khush rehna aur doosron ko khush rakhna musalman ka ikhlaqi kirdaar hai.
Musalman ki yeh shaan hai ke woh khushi mein bhi islami o rohani zouq aur hifz
muratib ka khayaal rakhta hai. Jab usay khushi millti hai to is bandah ka sadaq
dil se shukar ada karta hai. Khushi ke hejaan mein aisa koi amal ya rawayya
ikhtiyar nahi karta jo Rasool Allah s.a.w ki talemaat ke khilaaf ho. Har haal
mein aitdaal ka rasta is ke samnay rehta hai.
Khushi mein woh itna mast o be khud
nahi ho jata ke is se fakhr o ghuroor ka izhaar honay lagey, niaz mandi aur
bandagi ke jazbaat dabnay lagen.
KHWAJA SHAMS-UD-DIN AZEEMI
UN SCINCEDANO KE NAAM
JO 15VEEN SADDI HIJIRI MEIN
MOJOODA SCINCE KA
AKHRI UROOJ DUNIYA
KI TABAHI DHEKH KAR
EK WAHID ZAAT
KHALIQ KAINAAT
ALLAH KI TAJALI KA
IRFAN HASIL KAR LEINGE