Topics
Quran pak noo insani par Allah Taala ka
ahsaan azeem hai jo is ne apne habib s.a.w ke zariye hum par kya hai. Yeh woh
kitaab hai jo har qisam ke shak o shuba se pak hai. Aur is mein hadaayat ke
talabb garon ke liye samaan nijaat hai. Is muqaddas saheefay mein sab kuch samo
diya gaya hai. Maeeshat aur muashrat ke usoolon se le kar takhleeq o taskheer
kaayenaat ke formulay sab kuch is mein mojood hain. Koi choti se choti aur barri se barri cheez aisi nahi hai jo is ke daira
bayan mein nah aati ho.
Allah Taala quran pak ka haq hum par yeh batatay hain.. .. ..
‘‘ Kitaab jo hum ne aap ki
taraf bhaije barket wali hai taa ke woh is mein ghhor o fikar karen aur aqal
walay is se naseehat haasil karen.’‘
Chunancha hamein chahiye ke quran pak ko mehez sawab o barket ka zareya
samajh kar be soochey samjhay nah parheen ya taqon ki zeenat bana kar nah
rakhen balkay is mein tafakar karen jaisa ke ghhor o fikar karne ka haq hai.
Allah rab ulizzat ne feham quran ataa karne ka zimma khud liya hai. Irshad
khuda wandi hai ke :
‘‘ Hum ne quran ka samjhna
aasaan kar diya hai, kya hai koi samajhney wala ?’‘
Es aayat mubarikah ki roshni mein hum par yeh lazim
hai ke is atiyah khuda wandi se faiz uthatay hue quran pak mein ghhor o fikar
ko apna shoaar banayen taa ke hamari roohein noor hadaayat se munawar ho jayen
aur hum un sifaat ko haasil kar saken jin se bande ke liye aasman o zameen
maskhar ho jatay hain.
KHWAJA SHAMS-UD-DIN AZEEMI
UN SCINCEDANO KE NAAM
JO 15VEEN SADDI HIJIRI MEIN
MOJOODA SCINCE KA
AKHRI UROOJ DUNIYA
KI TABAHI DHEKH KAR
EK WAHID ZAAT
KHALIQ KAINAAT
ALLAH KI TAJALI KA
IRFAN HASIL KAR LEINGE