Topics
Nabi s.a.w ka irshad hai :
‘‘ Aik
musalman dosray musalman ke liye imarat ki terhan hai jaisay imarat ki aik eent
doosri eent ka sahara banti hai aur har eent doosri eent ko qowat pohanchati
hai.’‘
Es ke baad Aap s.a.w ne aik haath ki
ungelian dosray haath ki unglio mein paivest farma kar musalmanoon ke bahami
talluq aur akhuwat o mohabbat ki misaal di. Aap s.a.w ne yeh bhi farmaya :
Tum musalmanoon ko baahum reham dili,
ulfat o mohabbat aur aapas mein takleef o raahat ke jazbaat mein aisa pao ge
jaisay aik jism ke agar is ka aik uzoo bemaar ho jaye to sara jism bemari aur
be cheeni mein is uzoo ka shareek ban jata hai.
Haq o sadaqat ke paiker, pyare nabi,
mualim ikhlaq Huzoor alaihi salatovalslam ki talemaat par amal pera ho kar
misbet tarz fikar ikhtiyar kijiyej, aur doston se khush dili,
naram khoi aur musarrat o ikhlaas se maliye, tawajah aur khulay dil se un ka
istaqbaal kijiyej. Mulaqaat ke waqt aur doston ke mamlaat mein laparwai, be
nayazi aur rookha pan ikhtiyar nah kijiyej. Doston se laparwai, be nayazi sapat
aur khushk lehjey mein guftagu karna, chehra aur paishani par bzahir nazar nah
anay wala munafqat ka aks aisi bemariyan hain jo dilon mein kudorat ko janam
deti hain aur jin se dilon mein nafrat peda hoti hai.
Doston, azeezon, rishta daaron aur
gheiron se mulaqaat ke waqt musarrat o itminan aur inkisari se baat kijiyej.
Hazan o malaal aur murda dili ke kalmaat hargiz zabaan par nah laiye. Aisa
andaaz ikhtiyar kijiyej ke aap ke nakhush aur pasmurdah dil dost bhi apne andar
khushi aur par musarrat zindagi ki laharen mehsoos karen. Istaqbaal ke waqt
afsurdah chehra anay walay ke liye khushi ki bajaye ranj o malaal ka baais
bantaa hai. Huzoor s.a.w ka irshad hai :
‘‘ Mein tumhe is
aadmi ki pehchan batata hon jis par jahannum ki aag haraam hai aur woh aag par
haraam hai aur yeh woh aadmi hai jo naram mizaaj, haleem al taba aur naram kho
hai.’‘
Nabi s.a.w jab kisi se mulaqaat farmatay to poori terhan
is ki taraf mutwajjah ho jatay aur jab koi aap se baat karta to aap poori
terhan mutwajjah ho kar is ki baat suntay.
KHWAJA SHAMS-UD-DIN AZEEMI
UN SCINCEDANO KE NAAM
JO 15VEEN SADDI HIJIRI MEIN
MOJOODA SCINCE KA
AKHRI UROOJ DUNIYA
KI TABAHI DHEKH KAR
EK WAHID ZAAT
KHALIQ KAINAAT
ALLAH KI TAJALI KA
IRFAN HASIL KAR LEINGE