Topics

Acha Dost

Huzoor Akram  s.a.w ne farmaya :

‘‘ Achay dost ki misaal aisi hai jaisay mushk baichnay walay ki dukaan ke kuch faida nah bhi ho to khushbu to zaroor aaye gi aur bura dost aisa hai jaisay bhatti se aag nah lagey tab bhi dhowen se kapray to zaroor kalay ho jayen ge.’‘

Doston ke intikhab mein is baat ko paish e nazar rakhiyae ke jis se aap talluq barha rahay hain is ke rujhanaat aur is ki soch kaisi hai ?

Is ke khayalat tameeri aur sehat mand hain ya nahi? Allah aur is ke Rasool Allah  s.a.w ke muamlay mein is ke andar kitna eesaar hai. Huzoor Akram s.a.w ne farmaya :

‘‘ Aadmi apne dost ke deen par hota hai. Is liye har shakhs ko ghhor kar lena chahiye ke woh kis se dosti kar raha hai.’‘

Doston se rabt o zabt aur taawun bilkhushoos aur deegar logon se mohabbat bil umoom mehez Allah ki raza ke liye rkhiye. Is mein manfiat aur gharz ka pehlu hargiz nah dhoondiye. Huzoor Akram  s.a.w ka irshad hai :

‘‘ Qayamat mein Khuda farmaiye ga woh log kahan hain jo sirf mere liye logon se mohabbat kya karte thay. Aaj mein un ko apne saaye mein jagah dun ga.’‘

Apni aur apne doston ki masrofiyat mein Allah aur is ke Rasool Allah  s.a.w ke mamlaat ko markazi hesiyat dijiye. Huzoor s.a.w ne farmaya :

‘‘ Khuda taala ka irshad hai ke mujh par wajib hai ke mein un logon se mohabbat karoon jo log meri khatir aapas mein mohabbat aur dosti karte hain aur mera zikar karne ke liye aik jagah jama ho kar baithtay hain aur meri mohabbat ke sabab aik dosray se mulaqaat karte hain aur meri khushnodi chahanay ke liye aik dosray ke sath naik sulooq karte hain.’‘


Tajaliyat - Roman

KHWAJA SHAMS-UD-DIN AZEEMI

UN SCINCEDANO KE NAAM

JO 15VEEN SADDI HIJIRI MEIN

MOJOODA SCINCE KA

AKHRI UROOJ DUNIYA

KI TABAHI DHEKH KAR

EK WAHID ZAAT

KHALIQ KAINAAT

ALLAH KI TAJALI KA

IRFAN HASIL KAR LEINGE