Topics

Oongh

‘‘ kya yeh log kaayenaat, arz o sama aur deegar makhlooq par ghhor nahi karte? Shayad un ki mout qareeb aa gayi hai.’‘ ( Airaaf )

Es niilii fiza mein hamaray sooraj se lakhoon gina barray be shumaar sooraj nihayat taizi se teer rahay hain. Hamara sooraj kaayenaat ke be shumaar shamsi nizamon ke samnay mehez aik zarra ki hesiyat rakhta hai. Is ke bawajood is saari kaayenaat par insaan ko hukmaran banaya gaya hai.

‘‘ Hum ne insaan ko ashraf banaya.’‘ ( bani israel )

Aalam rang o bo mein jitni bhi makhlooq hai woh sab aapas mein aik baradri hai.

Kehkashani sayaray hon ya un sayyaron mein basnay wali noueyn ya nouon mein allag allag afraad hon, sab ke andar aik hi khoon daud raha hai. Sab ki paidaiesh aik hi formulay ke tehat amal mein aa rahi hai. Samandar, pahar, aftaab o najoom sab insaan ke bhai hain.

‘‘ Allah woh hai jis ne hamein aik nafs se peda kya.’‘ ( Airaaf )

Duniya mein koi aadmi agar is ke andar zara sa bhi shaoor hai, yeh nahi keh sakta ke yeh kaayenaat anasir ki ittifaqia ameezash se wujood mein aagai hai. Is liye kaayenaat mein ittafaq nami kisi cheez ka wujood hi nahi hai. Kya yeh mumkin hai ke neher nasheeb mein behnay ki bajaye oopar ki satah par behnay lagey. Kya kabhi kisi ne aabshaar ko neechay girnay ke bajaye oopar ki taraf urrtay hue dekha hai ?

Hum rozana phal khatay hain. Gandum ka pissa hua aatta khatay hain. Dimagh ke andar mojood un khalion ko harkat day kar sochiye jo baseerat banatay hain. Har beej apne kunba o baradri ka aik mehfooz ghar hai. Is ghar mein darakht ke kunba se mutaliq ghar ka poora naqsha, ghar ka tole o arz, pattay, phool aur phal aur shaakhen sab mojood hain. Yeh chhota sa beej zameen, hua aur sooraj se ghiza aur hararat haasil kar ke poora darakht ban jata hai. Jis terhan darakht ke har beej mein darakht ka poora hudood arbah aur guzri hui aur anay wali naslen mehfooz hain, isi terhan is saari kaayenaat ka programme, maazi aur mustaqbil Allah ke dimagh mein mehfooz hai.

‘‘ Zarra ya zarra se kam o besh koi zameeni ya aasmani cheez aisi nahi jo kitaab mubin mein nah ho yani ilm ellahi aur Allah ke zehen mein mojood nah ho. ’‘( Surah Saba )


hum jab gird o paish ka mutalea karte hain to hamein yeh tasleem karna parta hai ke koi taaqat hai jis ke ihata qudrat mein har cheez zindah aur mutharrak hai. Har cheez ke oopar aik haala ( aura ) hai jis ne jism ko sanbhala hua hai. Yeh haala kahin sabz hai, kahin se surkh aur kahin se kuch aur rang hai. Is haala ke oopar aik aur haala hai jo rang se mawra hai. Har chand ke is ghair mryi taaqat ko aankh nahi dekh sakti lekin yeh yaqeenan mojood hai.

‘‘ Allah , is ke siwa koi mabood nahi, zindah hai sab ka thaamnay wala nahi pakar sakti is ko ongh aur nah neend. Isi ka hai jo kuch asmano aur zameen mein hai, aisa kon hai jo sifarish laaye is ke paas magar is ki ijazat se. Jaanta hai jo kuch khalqat ke rubaroo hai aur jo kuch un ke peechay hai, woh sab ihata nahi kar satke kisi cheez ka is ki maloomat mein se magar jitna ke woh chahay, wusat hai is ki kursi mein tamam asmano aur zameen ki aur giran nahi is ko thamna un ka aur wohi hai sab se bartar azmat wala.’‘ ( baqra )
‘‘ Aur kya nahi dekha un munkaron ne ke aasman aur zameen mun band thay phir hum ne un ko khol diya. Aur banai hum ne pani se har aik cheez jis mein jaan hai, phir kya yaqeen nahi karte aur rakh diye hum ne zameen mein bhaari boojh, kabhi un ko le kar jhuk parre aur rakhen is mein kushadah rahein taa ke woh raah pa len aur banaya hum ne aasman ko chhat mehfooz aur woh aasman ki nishanion ko dheyaan mein nahi laatay aur woh hi hai jis ne banaye raat aur din aur sooraj aur chaand. Sab apne apne ghar mein phirtay hain. ( Al ambiya )


Tajaliyat - Roman

KHWAJA SHAMS-UD-DIN AZEEMI

UN SCINCEDANO KE NAAM

JO 15VEEN SADDI HIJIRI MEIN

MOJOODA SCINCE KA

AKHRI UROOJ DUNIYA

KI TABAHI DHEKH KAR

EK WAHID ZAAT

KHALIQ KAINAAT

ALLAH KI TAJALI KA

IRFAN HASIL KAR LEINGE