Topics

Roza

Roza aik aisi ibadat hai jis ka koi badal nahi hai. Rozay ke azeem fawaid aur be payaan asraat ko bayan kya jaye to is ke liye hazaron waraq bhi na kafi hunge. Mukhtasir yeh ke roza amraaz jismani ka mukammal ilaaj hai. Rohani qadron mein izafah karne ka aik muaser amal hai. Buraiyon se bachney ke liye aik aisi dhaal hai jis ka toar koi nahi. Rozay daar aik makhsoos darwazay se jannat mein daakhil hunge. Qayamat ke din roza is bande ki sifarish kere ga jis ne pooray adab o ehtram ke sath roza ko khush aamdeed kaha tha. Roza rakhnay se jismani kisafatein daur ho jati hain aur aadmi ke andar lateef roshiniyon ka bahao taiz tar ho jata hai. Roshiniyon ke taiz bahao se aadmi ke zehen ki raftaar barh jati hai, itni barh jati hai ke is ke samnay farishtay aa jatay hain. Aur woh ghaib ki duniya mein apni rooh ko sair karte daikhta hai.

Roza aik aisi ibadat hai jo tamam anbia Allah um salam ki amton par farz raha hai. Allah Taala ka irshad hai :

‘‘Imaan walo! Tum par rozay farz kiye gaye jis terhan tum se pehlay ke logon par farz kiye gaye thay taa ke tum mut-taqi aur parhaiz gaar ban jao.’‘

Allah Taala mut-taqi ki tareef mein farmatay hain ke mut-taqi woh log hain jo ghaib par yaqeen rakhtay hain. Rohaniyat mein ghaib par yaqeen rakhtay ke maienay yeh hain ke ghaib mushahiday mein aa jaye, is liye ke baghair mushahiday ke yaqeen ki takmeel nahi hoti. Roza bandah ko aisay darwazay par laa khara karta hai jahan ghaib yaqeen ban jata hai. 


Tajaliyat - Roman

KHWAJA SHAMS-UD-DIN AZEEMI

UN SCINCEDANO KE NAAM

JO 15VEEN SADDI HIJIRI MEIN

MOJOODA SCINCE KA

AKHRI UROOJ DUNIYA

KI TABAHI DHEKH KAR

EK WAHID ZAAT

KHALIQ KAINAAT

ALLAH KI TAJALI KA

IRFAN HASIL KAR LEINGE