Topics
Apne ghar walon ko islami ikhlaq se
aarasta kya jaye aur un ki sahih tarbiyat ke liye har mumkin koshish ki jaye
taa ke woh muashray ke liye aala namona ban jayen. Larke malik o qoum ke liye
taraqqi o kaamrani ki sanad ka darja haasil kar len aur larkiyan achi biwiyan
aur saadat nishaan maaen ban kar rehmat ka gehwaara ban jayen, aisa gehwaara jo
noo insani ke liye falah o behbood, masawaat aur roshan mustaqbil ki zamanat
banay. Quran pak ba awaz buland irshad farmata hai :
‘‘ Aur apne ghar walon
ko namaz ki takeed kijiyej aur is par khud bhi paband rhiye.’‘
Biwion par nihayat khush dili ke sath apne
shoharon ki itaat farz hai. Is itaat mein musarrat aur shadmani ka pegham
chhupa hua hai is liye ke yeh Khuda ka hukum hai aur jo biwi Khuda ke hukum ki
tameel karti hai woh apne Khuda ko khush karti hai. Khuda ki hadayat ka taqaza
yahi hai aur azdawaji zindagi ko khush gawaar banaye rakhnay ka aik kamyaab
formula bhi hai.
Allah Taala farmatay hain :
‘‘ Naik biwiyan
itaat karne wali hain.’‘
Shohar ko chahiye ke woh biwion par
najaaiz tasarruf nah karen. Shoharon par yeh farz aed hota hai ke poori farakh
dili ke sath rafiqa hayaat ki zaroriat poori karen aur apni biwion ko tang nah
karen. Is haq ko khush dili ke sath poora karne ke liye jad-o-jehad aur daud
dhoop karna intehai pakeeza amal hai. Is amal ko injaam dainay se nah sirf yeh
ke duniya mein azdawaji zindagi ki nemat millti hai balkay acha aur mukhlis
shohar akhirat mein bhi ajar o inaam ka mustahiq bantaa hai.
Biwi ki ahmiyat o azmat ka andaza is
baat se lagaya ja sakta hai ke woh ahsenul khaliqeen ki aisi sift hai jis ko Allah
Taala ne takhleeq aadmiyyat aur is ki nashonuma ka mazhar banaya hai. Allah Taala
apni kitaab quran majeed mein farmata hai :
‘‘ Aur un ke sath
bhallay tareeqay se zindagi guzaaro.’‘
doosri jagah yeh irshad hai :
‘‘ Aurtain tumhara
libaas hain aur tum un ka libaas ho.’‘
Koi ba shaoor aadmi apne libaas ko taar taar nahi
karta. Is ki hifazat karta hai.
KHWAJA SHAMS-UD-DIN AZEEMI
UN SCINCEDANO KE NAAM
JO 15VEEN SADDI HIJIRI MEIN
MOJOODA SCINCE KA
AKHRI UROOJ DUNIYA
KI TABAHI DHEKH KAR
EK WAHID ZAAT
KHALIQ KAINAAT
ALLAH KI TAJALI KA
IRFAN HASIL KAR LEINGE