Topics
buraiyon ko mitanay ki jad-o-jehad aur bhulaiyon ki targheeb hi woh amal
hai jo hamaray wujood ka zamin hai. Is mein kotahi ka nateeja tabahi aur
barbadi ke siwa kuch nahi. Quran pak mein Allah Taala ka irshad hai :
tarjuma : tum behtareen ummat ho jo
saaray insanon ke liye wujood mein layi gayi hai. Tum bhalai ka hukum dete ho
aur buraiee se roktay ho aur Khuda par kaamil imaan rakhtay ho.’‘ ( All
Imran )
lekin is ke sath sath is baat par bhi ghhor
karna ho ga ke kahin aisa to nahi ke hum jis ghalat rawish se logon ko bachney
ki talqeen kar rahay hain aur is ke buray nataij se inhen khabardaar kar rahay
hain, hum khud danista ya na danista tor par isi raah par chal rahay hain. Allah
Taala ne is tarz amal ki nishandahi is terhan ki hai ke
‘‘
kya tum logon ko neki ki talqeen karte ho aur khud ko bhool jatay ho.’‘
( Al Baqrah )
Aur
‘‘
tum woh baat kyun kehte ho jo karte nahi ho.’‘ ( Almusf )
Allah ke rastay ki taraf dawat dainay
mein hamari baat mein isi waqt ta-assur peda ho ga jab hum khud is dawat aur
taleem ka namona hon aur hamara rabita Allah ke sath waisa hi jo aik haqeeqi
bande ka apne rab se hota hai. Allah Taala ne is rabt ke husool ka tareeqa Huzoor
suroor kaayenaat s.a.w ko yeh bataya hai :
Tarjuma :’‘ ae chadar mein
liptaine walay! Raat mein’‘ qiyam’‘ kijiyej magar kuch raat,
aadhi raat ya is se kuch kam ya kuch ziyada aur quran ko thehr thehr ko prhhiye
hum jald aap par aik bhaari farmaan daalnay walay hain.’‘
( Al-Muzammil )
Qiyam ka matlab yeh hai ke bandah apne rab ki
qurbat par qaim ho kar is se aisa rabt peda kere ke is ki zindagi ka har amal Allah
ki zaat se wabasta ho jaye aur woh Allah Taala ko pehchan le.
Jab bandah apne rab se haqeeqi talluq
ko qaim kar laita hai to woh gham aur khauf se nijaat haasil kar ke sukoon aur
itminan ki tasweer ban jata hai. Ab jab woh koi baat kehta hai aur kisi baat ki
dawat deta hai to bazmir log aur saeed roohein is ki aawaz par labbaik kehti
hain.
KHWAJA SHAMS-UD-DIN AZEEMI
UN SCINCEDANO KE NAAM
JO 15VEEN SADDI HIJIRI MEIN
MOJOODA SCINCE KA
AKHRI UROOJ DUNIYA
KI TABAHI DHEKH KAR
EK WAHID ZAAT
KHALIQ KAINAAT
ALLAH KI TAJALI KA
IRFAN HASIL KAR LEINGE