Topics
Tajdar do aalam Nabi akram sale Allah alaihi
wasallam ne aik martaba qabar ke paas baith kar farmaya. Qabar rozana intehai
bhayanak awaz mein pukarti hai, ae aadam ki aulaad! Kya to mujhe bhool gayi?
Mein tanhai ka ghar hon, mein ajnabaiyat aur wehshat ka maqam hon, mein keeray
makoron ka makaan hon, tangi aur museebat ki jagah hon. Un khush naseeboon ke
ilawa jin ke liye Khuda mujh ko kushadah aur wasee kar day, Mein saaray insanon
ke liye aisa hi takleef da hon.’‘ aur aap s.a.w ne farmaya.’‘
qabar ya to jahannum ke gharhoon mein se aik garha hai ya jannat ke baghoon
mein se aik baagicha.’‘
Aik baar Hazrat ali qabrustan mein
tashreef le gaye. Un ke sath Hazrat kmil bhi thay. Qabrustan pahonch kar aap ne
aik nazar qabron par daali aur phir qabar walon se mukhatib ho kar farmaya.’‘
ae qabar mein basnay walo! Ae khandaron mein rehne walo! Ae wehshat aur tanhai
mein rehne walo! Kaho tumhari kya khabar hai? Hamara haal to yeh hai ke maal
taqseem kar liye gaye, avladin yateem ho gayeen, biwion ne dosray khawand kar
liye. Yeh to hamara haal hai. Ab tum bhi to apni kuch khabar sunaaoo.’‘
phir aap kuch der khamosh rahay, is ke baad Hazrat kmil ki taraf dekha aur
farmaya.
‘‘ Kumail! Agar un
qabron ke bashindon ko bolnay ki ijazat hoti to yeh kehte ke behtareen tosha
parhaiz gari hai.’‘
Yeh keh kar Hazrat ali ronay lagey aur
der tak rotay rahay. Phir bolay.’‘ kumail! Qabar amal ka sandooq hai aur
mout hai aur mout ke waqt hi yeh baat maloom ho jati hai.’‘
Mojooda zamana mein yeh baat aam hoti
ja rahi hai ke log qabrustan mein cigraitein peetay hain. Laparwa logon ki
terhan hansi mazaaq karte hain, duniya aur lawazmaat duniya ki baatein karte
hain jabkay qabar akhirat ka darwaaza hai. Is darwaaza ko dekh kar akhirat ki
fikar kijiyej.
KHWAJA SHAMS-UD-DIN AZEEMI
UN SCINCEDANO KE NAAM
JO 15VEEN SADDI HIJIRI MEIN
MOJOODA SCINCE KA
AKHRI UROOJ DUNIYA
KI TABAHI DHEKH KAR
EK WAHID ZAAT
KHALIQ KAINAAT
ALLAH KI TAJALI KA
IRFAN HASIL KAR LEINGE