Topics

Khud’daari

Khuda apni mohabbat mein maal kharch karne ka hukum deta hai is liye ke Allah yeh jaanta hai ke bandah sab se ziyada maal o doulat se pyar karta hai. Allah ke liye kharch karna darasal Allah ki makhlooq aur aadam o hawa ke rishte se apne behan bhaiyon par kharch karna hai. Allah nah khata hai, nah peeta hai, nah pehnta hai lekin jab koi bandah apni baradri ke aaraam o asayish ke liye Allah ki di hui doulat kharch karta hai to yeh eesaar wajah qabuliat ban jata hai.

Khuda ki raah mein kharch karne ke baad ahsaan jatana mohtajon aur nadaron ke sath hiqarat ka sulooq karne ke barabar hai. Un ki khuddari ko thais lagana darasal un ki gareebi ka mazaaq ura kar apni bartari saabit karne ke barabar hai. Momin un tamam kaseef jazbaat se pak hota hai.

Quran kehta hai :

‘‘ Ae imaan walo! apne sadqat aur khairaat ko ahsaan jta kar aur ghareebon ka dil dikha kar is shakhs ki terhan khaak mein nah mila do jo mehez logon ko dikhaane ke liye kharch karta hai. Tum hargiz neki haasil nah kar sako ge jab tak woh maal Khuda ki raah mein nah do jo tum ko aziz hai.' 


Tajaliyat - Roman

KHWAJA SHAMS-UD-DIN AZEEMI

UN SCINCEDANO KE NAAM

JO 15VEEN SADDI HIJIRI MEIN

MOJOODA SCINCE KA

AKHRI UROOJ DUNIYA

KI TABAHI DHEKH KAR

EK WAHID ZAAT

KHALIQ KAINAAT

ALLAH KI TAJALI KA

IRFAN HASIL KAR LEINGE