Topics
Deen ko phelanay ke liye hamesha do tareeqay raaij rahay hain.
Aik tareeqa yeh hai ke mukhatib ki zehni
salahiyat ko samnay rakh kar is se guftagu ki jaye aur husn ikhlaq se is ko
apni taraf mael kya jaye. Is ki zaroriat ka khayaal rakha jaye. Is ki pareshani
ko apni pareshani samajh kar tadaruk kya jaye.
Dosra tareeqa yeh hai ke tehreer o taqreer se apni baat doosron tak
pohanchai jaye. Mojooda daur tehreer o taqreer ka daur hai. Faaslay simat gaye
hain, zameen ka phelao aik globe ( globe ) mein band ho gaya hai. Aawaz ke
nuqta nazar se america aur karachi ka faasla aik kamrah se bhi kam ho gaya hai.
Karachi mein baith kar london , america ki sarzamen par apna pegham pouncha
dena roz marrah ka mamool ho gaya hai. Yahi soorat e haal tehreer ki hai.
Nashar o ashaat ka aik la-mutnahi silsila hai. America ya daur daraaz kisi
malik mein type honay wali tehreer karachi ya islamabad mein is terhan parhi
jati hai ke jaisay karachi mein hi likhi ja rahi hai. Tehreer qaari ke oopar
aik ta-assur chore deti hai aisa ta-assur jo zehen ke andar fikar o feham ki
tukham raizi karta hai aur phir yahi fikar o feham aik tanawar darakht ban jata
hai.
Apni tehreer o taqreer mein hamesha aitdaal ka rasta ikhtiyar kijiyej.
Alfaaz ki nashist o barkhast aisi ho ke suneney aur padhany walay ke oopar
umeed waar talluq khatir ki kefiyat taari ho jaye. Khauf ko darmiyan mein nah
laaye ke khauf par mubaligha amaiz zor dene se bandah Khuda ki rehmat se mayoos
ho jata hai aur usay apni islaah aur nijaat nah sirf mushkil balkay mahaal
nazar anay lagti hai. Tehreer mein aisay alfaaz istemaal kijiyej jin mein
rajaiat ho, Khuda se mohabbat karne ka aisa tasawwur paish kijiyej ke khauf ki
jagah adab o ehtram ho taa ke woh Khuda ki rehmat aur bakhshish ko is ke pooray
adab o ehtram ke sath qubool kere. Hazrat ali farmatay hain :
‘‘ Behtareen aalam woh hai jo
logon ko aisay andaaz se Khuda ki taraf dawat deta hai ke Khuda se bande mayoos
nahi hotay aur nah hi Khuda ka aisa tasawwur paish karta hai ke woh Khuda ki
nafarmani ki saza se be khauf ho jayen.’‘
Deen ki dawat aur rohani aloom ki ashaat ke liye thora kaam kijiyej magar
musalsal kijiyej. Logon ko rohani salahiyaton se istifada karne ki dawat dijiye
aur is raah mein paish anay wali mushkilaat aur takaleef aur aazmayshon ka
khanda peshani se istaqbaal kijiyej. Nabi kareem s.a.w ka irshad aliiiii maqam
hai :
‘‘ Behtareen amal woh hai
jo musalsal kya jata hai chahay woh kitna hi thora ho.’‘
KHWAJA SHAMS-UD-DIN AZEEMI
UN SCINCEDANO KE NAAM
JO 15VEEN SADDI HIJIRI MEIN
MOJOODA SCINCE KA
AKHRI UROOJ DUNIYA
KI TABAHI DHEKH KAR
EK WAHID ZAAT
KHALIQ KAINAAT
ALLAH KI TAJALI KA
IRFAN HASIL KAR LEINGE