Topics
Quran pak mein Allah Taala ne kayi
baar walidain ki itaat aur khidmat guzari ki purzor talqeen ki hai. Jab hum
walidain ke maqam o martaba par ghhor karte hain to pata chalta hai ke khaaliq
ne walidain ko azeem nemat banaya hai. Hum dekhte hain ke maa baap qudrat ki
takhleeq ke aik karkun hain aur amal takhleeq mein aik zareya bantay hain. Allah
Taala maa baap ko zareya bana kar kisi aadmi ko is aabb o gul ki duniya mein
peda farmatay hain. Yahi vaastaa aur zareya woh amar hai jo walidain ki izzat
aur tazeem ka sabab bantaa hai.
Maa baap aulaad ki tamanna karte hain
aur phir maa mahino aik nai zindagi ko apne wujood mein parwan chadhaatii hai.
Nai zindagi is ke jism ke ajzaa se nashonuma paati hai aur is terhan is ke jism
ka aik hissa hoti hai. Phir paidaiesh ke baad bhi aulaad aur maa ka rishta nahi
toot-ta aur maa har waqt aulaad ki khidmat par kamar basta rehti hai. Khud raat
din takleifein uthaati hai lekin aulaad ke aaraam o asayish mein kami nahi anay
deti. Aulaad ko zara si takleef mein dekhatii hai to be chain ho jati hai aur
is ka tadaruk karti hai.
Doosri taraf baap rizaq ke husool ke
liye subah se nikalta hai aur shaam ko ghar mein daakhil hota hai. Apni poori tawanai se aulaad ke samaan khord o nosh ka intizam karta hai.
Yahi woh azeem ehsanaat hain jin ki wajah se Allah Taala ne kayi jagah haqooq Allah
ke foran hi baad haqooq walidain ka tazkara farmaya hai.
Irshad baari taala hai :
‘‘ Aur aap ke rab ne faisla
farma diya hai ke tum Khuda ke siwa kisi ki bandagi nah karo aur walidain ke
sath naik sulooq karo.’‘
Un tamam baton ke paish e nazar walidain ke agay farmaa bardari, ehtram aur
mohabbat ko hamesha malhooz rkhiye aur koi aisi baat nah honay dijiye jo inhen
nagawaar guzray ya jis se un ke jazbaat ko thes puhanche. Burhapay ki umar aik
aisa zamana hota hai jab aadmi ko apni natwani ka ehsas honay lagta hai aur
mamooli si baat bhi mehsoos honay lagti hai. Walidain ki khidmat guzari mein
koi kasar baqi nah rehne dijiye. Koi baat aisi nah ho jo un ke liye nagwari ka
sabab ban jaye.
Irshad baari taala hai :
‘‘ Agar un
mein se aik ya dono tumahray samnay burhapay ki umar ko pahonch jayen to tum un
ko uff tak nah kaho aur nah inhen jharkiyan do.’
KHWAJA SHAMS-UD-DIN AZEEMI
UN SCINCEDANO KE NAAM
JO 15VEEN SADDI HIJIRI MEIN
MOJOODA SCINCE KA
AKHRI UROOJ DUNIYA
KI TABAHI DHEKH KAR
EK WAHID ZAAT
KHALIQ KAINAAT
ALLAH KI TAJALI KA
IRFAN HASIL KAR LEINGE