Topics

Insani Shumariyat

‘‘ Yeh chopaye aur urrnay walay janwar tumhari terhan umatein hain.. .’‘
Surah Inaam
38)

Parindon, chopaiyon aur hashrat al arz ko nazla zukam aur maleria nahi hota. Inhen khansi aur diq siil jaisi bemariyan nahi hoten. Aaj tak nahi suna gaya ke kisi kabootarr ya chirya ko cancer hua ho. Yeh bhi noo insani ke danishwaron ke samnay nahi aayi ke jungle mein rehne walay chopaye nafsiati marz mein mubtala hue hon. Is baat ki bhi koi shahadat nahi millti ke kisi parinday ya charindey ke dil ke walo band hue hon. Janwaron ki nouon mein burhapay ke assaar bohat kam zahir hotay hn. Un ke mun boyeiy nahi hotay. Un ki aankhon par aeinak nahi lagti. Woh umar tabee tak chust aur phrtile rehtay hain. Kya hum ne kabhi yeh sochnay ki takleef gawara ki hai ke aisa kyun hai ?

Is liye ke Allah ki yeh makhlooq aur insani shumariyat se kahin ziyada nouyein aur har noo ke be shumaar afraad munasib ghiza khatay hain. Un ke haan kisi qisam ki ghizai milawat nahi hoti. Un nouon ki zindagi mein barah e raast werzish ka amal dakhal hai. Yeh sab nouyein aik nizaam hayaat ki paband hain. Halaat ke mutabiq yeh apna nizaam hayaat bhi bdalty rehtay hain.

‘‘ Kya tum dekhte nahi ke zameen o aasman ki har cheez aeen ellahi par amal pera hai aur parinday bhi aik nizaam ko nibaah rahay hain. Un mein se har aik apni namaz aur dastoor al amal se aagah hai.’‘ ( Surah noor ۴۱ )
woh parinday aur chopaye badnaseeb hain jo insani mahol mein zindagi guzartay hain. Insaan ki phailai hui gandagi aur ghalazat se mutasir ho kar terhan terhan ki beemariyon mein mubtala ho jatay hain.

Insaan jo khud ko ashraf almkhloqat kehta hai, itna ghaleez aur ganda hai ke baar baar thokta hai, apne ird gird kora cricket ka dhair lagaye rakhta hai. Gharon mein safai ka fuqdaan hai to galiyo mein taffun ke tufaan uthte rehtay hain. Guftagu ki jaye to mun se badboo aati hai. Jismani itsaal ho jaye to paseenay ki bُo se dimagh phatnay lagta hai. Khushk chehray aur khushk baal aur balon ke andar joyen is ki nafasat aur taharat se be parwai ka mun boltaa saboot hai.

Ae insaan jungli janwaron ko dekh. Un ke ghonslon aur nashemano mein kaisi safai payi jati hai. Billi zameen mein garha khodti hai aur apna fzla is mein chhupa deti hai. Allah ki makhlooq insani mahol mein rehne wali billi hamein har roz safai aur taharat ka sabaq deti hai. Allah Taala farmatay hain :
‘‘ Ae insaan mil kuchail aur ghalazat se daur reh.’‘ ( Surah madasser )

Zindah qomon ki tareef hi yeh hai ke safai, nafasat , pakizgee un ki zindagi ka aik muharrak amal ban jata hai aur jin qomon mein safai o taharat nahi hoti woh pakizgee ke ehsas se hi mahroom ho jati hain. Un mein parindon ke paron ka ujla pan, chopaiyon ke jism ka husn aur aankhon mein kashish baqi nahi rehti. Woh ghenday ki terhan bhadi, gidh ki terhan ghaleez aur uuullllu ki terhan bad hawas aur oonghti qoum ban jati hai. apne mehboob Rasool Allah  s.a.w se Allah Taala ne farmaya :

‘‘ Ae jism ko libaas se zeenat dainay walay Rasool uth! Qoum ko ghalazat ke nataij se aagah kar, Allah ki azmat bayan kar, ujley kapray pehan aur har qisam ke mil kuchail se daur reh.’‘ ( Surah madasser 1-5 )

Hamari haalat yeh hai ke hum sirf paanch farz ehkaam ki baja aawri mein apni nijaat samajte hain. Baqi hazaron ehkamaat ko mustahib keh kar guzar jatay hain.

Ae musalman, ghhor kar. Teri phailai hui ghalazat aur napak kamon ki wajah se aaj poori musalman qoum ki sehat ka kya haal hai. Qoum ka har fard bemaar nazar aata hai. Masoom aur phoolon jaisay bachon ke chehray kamhlaye hue aur zard nazar atay hain. Ghaleez makanaat aur paragandah khayalat ne musalman qoum ka waqar kis qader kam kar diya hai. Ijtimai, tamadduni, masharti vus-aton se nikal kar hum ghair aqwam ke aala car ban gaye hain aur hamaray oopar ghulami musallat kar di gayi hai.

Quran ka aik hukum’‘ safai ikhtiyar karo’‘ ko chore kar hum kitney zaleel o khawar ho gaye hain. Ae qoum! To kyun ghhor nahi karti ke Allah ke Rasool s.a.w hamein rohani o jismani nijasaton aur ghilazaton se nijaat dilanay ke liye tashreef laaye hain. Surah ibrahim mein Allah Taala ka irshad hai :

‘‘ Ae Rasool hum ne tujhe yeh buland kitaab is liye di ke to duniya ko ghalazat aur kasafat ki tarikeon se nikaal kar nafasat , pakizgee aur latafat ki roshiniyon ki taraf rahnumai kere.’‘


Tajaliyat - Roman

KHWAJA SHAMS-UD-DIN AZEEMI

UN SCINCEDANO KE NAAM

JO 15VEEN SADDI HIJIRI MEIN

MOJOODA SCINCE KA

AKHRI UROOJ DUNIYA

KI TABAHI DHEKH KAR

EK WAHID ZAAT

KHALIQ KAINAAT

ALLAH KI TAJALI KA

IRFAN HASIL KAR LEINGE