Topics
Tableeghi kaam apne ghar se shuru kijiyej. Agar aap ke ghar mein aap ki
rafiqa hayaat ya aap ka rafeeq safar deeni aur rohani aloom se behra war hain
to aap dono apne bachon ki behtareen tarbiyat kar satke hain. Bacha ka pehla
gehwaara maa ki agosh aur baap ki goad hai. Aap dono agar islami ikhlaq se
aarasta hunge to bachon ki tarbiyat aur sudhar ke liye ghar taleem o tarbiyat
ka pehla school ban jaye ga.
Mard ke oopar farz hai ke bachon aur
biwi ki tamam zaroriat poori kere. Aurat ke oopar farz hai ke azdawaji zindagi
ko khush gawaar banaye. Dono ko chahiye ke apne qoul o amal aur andaaz o atwaar
se aik dosray ko khush rakhnay ki koshish karen. Kamyaab azdawaji zindagi ka
yahi raaz hai aur khuda ko khush rakhnay ka zareya.
Allah taala aap ko jo aulaad deta hai,
usay kabhi zaya nah kijiyej. Peda honay se pehlay ya peda honay ke baad aulaad
ko zaya karna bad tareen sang dili, bhayanak zulm, intehai buzdali aur dono
jahan ki tabahi hai. Wiladat ke waqt wiladat wali aurat ke paas aayat al kursi
aur Surah airaaf ki ayatain 54,55 parheen aur
Surah falaq aur Surah Al naas parh kar dam karen. Wiladat ke baad bacha ke
dayen kaan mein azaan aur baen kaan mein iqamat k_hiye.
Azan aur iqamat ke baad kisi naik mard
ya naik aurat se khajoor chbwa kar bachay ke taalu mein lagwaiye aur bachay ke
liye kher o barket ki dua karwaiye. Satwen din aqiqa kijiyej.
Bachon ko daraiyen nahi kyunkay
ibtidayi umar mein dimagh mein chhupa hua dar saari umar zehen se chimta rehta
hai aur khauf zada bachay zindagi mein koi bara kaam sir injaam dainay ke qabil
nahi rehtay.
Aulaad ko har waqt sakht o sust kehna
aur har waqt bura kehte rehna bhi ghalat hai is se bachay ki sahih parwarish
nahi hoti aur woh daant dapat ko rozana ka mamool samajhney lagta hai. Bachay
nadaan hotay hain. Un ki kotahiyon par bezaar honay ki bajaye yeh sochye ke aap
bhi un hi ki terhan bacha thay aur aap se bhi be shumaar kotahyan sarzad hoti
theen. Nafrat ka izhaar karne ki bajaye hikmat, tahammul aur burdbaari se un ko
samjhaiye. Un ko yeh ta-assur dijiye ke aap un ke hamdard hain. Un ke suron par
shafqat se haath pheriye taa ke un ke andar itaat aur farmaa bardari ke jazbaat
ubhar ayen.
KHWAJA SHAMS-UD-DIN AZEEMI
UN SCINCEDANO KE NAAM
JO 15VEEN SADDI HIJIRI MEIN
MOJOODA SCINCE KA
AKHRI UROOJ DUNIYA
KI TABAHI DHEKH KAR
EK WAHID ZAAT
KHALIQ KAINAAT
ALLAH KI TAJALI KA
IRFAN HASIL KAR LEINGE