Topics

Mission Mein Kamyabi

Yeh is zamane ka waqea hai jab sang dil log Aap s.a.w aur Aap s.a.w ke jaan nisar sathiyon par be panah zulm o sitam kar rahay thay. Hazrat Khuab farmatay hain :

‘‘ Nabi s.a.w beeet Allah ke saaye mein chadar sir ke neechay rakhay aaraam farma rahay thay. Hum Aap s.a.w ke paas shikayat le kar puhanche. Ya Rasool Allah ! Aap hamaray liye Khuda se madad talabb nahi farmatay, aap is zulm ke khatmay ki dua nahi karte ?’‘

Huzoor Akram  s.a.w ne yeh sun kar farmaya.’‘ tum se pehlay aisay log guzray hain ke un mein se baaz ke liye garha khooda jata, phir is garhay mein khara kar diya jata phir aara laya jata aur is ke jism ko cheera jata yahan tak ke is ke jism ke do tukre ho jatay. Phir bhi woh apne deen se nah phirta aur is ke jism mein lohay ke kanghey chuboye jatay jo gosht se guzar kar hadion aur pathon tak pahonch jatay magar woh Khuda ka bandah haq se nah phirta. Qisam hai Khuda ki yeh deen ghalib ho kar rahay ga yahan tak ke sawaar yemen ke darulkhalafa sanaa se hazar maut tak ka safar kere ga aur rastay mein Khuda ke siwa is ko kisi ka khauf nah ho ga. Albata charwahon ko sirf bhirhyon ka khauf ho ga ke kisi bakri ko utha na le jayen lekin afsos ke tum jald baazi se kaam le rahay ho.’‘

Kisi mission ko kamyaab bananay ke liye aazmayshin zaroori hain. Jab tak azmaish se aadmi nahi guzarta, maqsad ki takmeel nahi hoti. Maqsad hama geer ho ya is ki hesiyat infiradi ho, azmaish laazmi hai. Hum koi bhi kaam karte hain is ki takmeel tak pounchanay ke liye hamein mukhtalif marahil se guzarna hota hai aur un marahil mein har marhala darasal aik azmaish hai.

Hum is azmaish par pooray utartay hain to nataij misbet nikaltay hain aur agar hum aazmayshon se jee churatay hain to nateeja manfi nikalta hai.

Aayye hum ehad karen ke Allah ke dost, Mehboob s.a.w rab alameen ke waris, abdal haq, qalandar baba aulia ke rohani mission ko saari duniya mein phelanay ke liye har azmaish par pooray utrain ge aur nihayat khanda peshani, husn ikhlaq aur mudabirana hikmat se logon ko yeh bawar karayen ke Allah aur is ke Rasool s.a.w ka urfan haasil karne ke liye khud apni rooh ka urfan zaroori hai.

 

مِنْ عَرَفَ نَفْسَہٗ فَقَدْ عَرَفَ رَبَّہٗ


Tajaliyat - Roman

KHWAJA SHAMS-UD-DIN AZEEMI

UN SCINCEDANO KE NAAM

JO 15VEEN SADDI HIJIRI MEIN

MOJOODA SCINCE KA

AKHRI UROOJ DUNIYA

KI TABAHI DHEKH KAR

EK WAHID ZAAT

KHALIQ KAINAAT

ALLAH KI TAJALI KA

IRFAN HASIL KAR LEINGE