Topics
Farmaya Rasool Allah s.a.w ne :
Jis shakhs ne wusat aur qudrat ke bawajood
mehez khaksari aur aajzi ki gharz se libaas mein saadgi ikhtiyar ki to Khuda usay
sharafat aur buzurgi ke libaas se aarasta farmaiye ga. Libaas ki saadgi imaan ki alamaton mein se aik alamat hai.
Khuda ke bohat se bande jin ki zahiri haalat nihayat hi mamooli hoti hai
maali tor par pareshan aur un ke kapray gubhar mein attay hue mamooli aur saada
hotay hain, lekin Khuda ki nazar mein un ka martaba itna buland hota hai ke
agar woh kisi baat par qisam kha bathain to Khuda un ki qisam ko poora kar deta
hai.
Jo shakhs kisi musalman ko kapray pehna kar is ki tan poshi kere ga,
khuday-e taala qayamat ke roz jannat ka libaas pehna kar is ki tan poshi kere
ga.
Mulazim aur nokar tumahray bhai hain. Tumhe
chahiye ke inhen wohi khilao jo tum khatay ho, waisa hi libaas un ko pehnao jo
tum pehantay ho. Un ke oopar kaam ka boojh itna nah daalo jo un ke saharey se
bahar ho.
Jis ke dil mein zarra barabar bhi ghuroor ho ga woh
jannat mein nahi jaye ga. 1 shakhs ne kaha har shakhs yeh chahta hai ke is ke
kapray umdah hon, is ke jootay umdah hon. Rasool Allah s.a.w ne farmaya ke Khuda khud sahib jamal hai
aur khoubsurti ko pasand karta hai. Ghuroor to darasal yeh hai ke aadmi haq se
be nayazi bartay aur logon ko apne se kam tar aur haqeer jane.
KHWAJA SHAMS-UD-DIN AZEEMI
UN SCINCEDANO KE NAAM
JO 15VEEN SADDI HIJIRI MEIN
MOJOODA SCINCE KA
AKHRI UROOJ DUNIYA
KI TABAHI DHEKH KAR
EK WAHID ZAAT
KHALIQ KAINAAT
ALLAH KI TAJALI KA
IRFAN HASIL KAR LEINGE