Topics
Hazrat Ismail(a.s) ki wasiat ke mutabiq in
ke betey Qaidaar Khane Kaba ke matwalli hoye aur Ismail ki aulaad Khane Kaba ki
matwalli hoti rahi. Inqalaab zamana se Bano Ismail aur Bano jarham main tanaza
paida ho gaya jo mukhalifat main badal gaya. Bilakhir Bani Jarham ghalib a gaye aur Makkah main Jarham ki
hukumat ho gai. Zamane ke nasheb o faraz se halaat main tabdeeli ati
rehti hey. Khandani ikhtelaaf ki waja se Hazrat Ismail(a.s) ki aulaad Makkah ke
atraaf main abaad ho gai. Jarham ka jab zulm o sitam khusosan Khana e Kaba ki
be hurmati samne aye to qabail e arab kharey ho gaye majboran Qabila Jarham ko
Makkah se nikalna para lekin jis waqt wo Makkah se nikle inho ne Khana e Kaba
ke tabarrukaat ko Zam Zam ke konwein main daal dia aur is main matti daal kar
bhar dia aur zameen ko hamwaar kardiya. Is tarha Zam Zam ka nishan baqi nahi
raha.
Jab Makkah ki hukumat aur sardaari Hazrat Abdul Muttalib
ko mili to Abdul Muttalib ko khuwab main bataya gaya ke Zam Zam ke konwein ko
khoda jaye.
Hazrat Abdul Muttalib kehte hain:
“
Main hateem main so raha tha, main ne khuwab dekha ke aik shaks mere pass aya
aur kaha: “ Barrah kho do.”
Main
ne daryaft kia: “ Barrah kia hey.” Lekin wo shaks chala gaya.
Agle
rooz main ne phir khuwab main dekha ke wo shaks keh raha he: “Mazo no naho.”
Main ne pocha “Mazo no naho” kia he? Lekin wo chala gaya.
Teesrey
rooz phir isi jagah main ne khuwab dekha. Wo shaks keh raha he:
“Tayyaba
kho do.”
Main
ne pocha “Tayyaba kia he?” lekin wo shaks kuch kahe baghair chala gaya.
Chuthey
rooz main isi jagah so raha tha main ne dekha ke wo shaks keh raha he:
“Zam
Zam kho do.”
Ye
pani ka aik konwan hey. Is konwen ka pani na kabhi totta hey or na kabhi kam
hota hey aur be shumar hajiyon ko siraab karta hey.
Phir
is shaks ne kuch nishanaat aur alamaat bataen aur kaha: “ Is jagah ko kho do.”
Is
tarha baar baar dekhne aur nishandahi ke baad Hazrat Abdul Muttalib ko yaqeen
ho gaya ke ye saccha khuwab hey.
Hazrat
Abdul Muttalib ne Quraish se apna khuwab biyan kia aur kaha : “ Mera irada hey ke
is jagah konwan kho da jaye.”
Quraish
ne konwan khodne ki mukhalifat ki. Magar Hazrat Abdul Muttalib
ne
mukhalifat ki parwa nahi ki.
Kaddaal
phora le kar apne bety Harish ke sath khuwab main batai hoi jagah pohach gaye
aur nishan ke mutabiq kowan khodna shoru kar diya. Hazrat Abdul Muttalib zameen
khodte the aur in ke betey Harish mitti bahir nikalte the. Teen rooz ke baad
konwan ki bunyad Zahir hoi. Hazrat Abdul Muttalib ne khushi se Allah o Akber ka
nara lagaya aur kaha: “Yahi Hazrat Ismail(a.s) ka konwan hey.”
Is
ke baad Hazrat Abdul Muttalib ne chah Zam Zam ke qareeb chand houz banwaye jin
main Ab-e-Zam Zam bhar kr hajiyon ko pilatey the. Hasidon ne ye shararat ki ke
raat ko in houzon ko kharab kar detey the. Subah hoti to Hazrat Abdul Muttalib
in houzon ko saaf karte the.
Bilakhir inho ne Allah Talah se dua mangi. Hazrat Abdul
Muttalib ko khuwab main bataya gaya ke tum ye dua mango:
“Aye Allah! Main Ab-e-Zam Zam se logon ko ghusal karne ki
ijazat nahi deta, wo sirf Ab-e-Zam Zam pi sakte hain.”
Subah
bedaar hone ke baad Hazrat Abdul Muttalib ne is baat ka elaan kar diya.
Is
ke baad jis2 kisi ne houz ko kharab karne ka irada kia wo kisi na kisi bimari
main mubtala ho gaya. Jab baar baar bimar hone ke waqiat paish aye to hasidon
ne Ab-e-Zam Zam ke houzon ko kharab karna chor diya.
Khwaja Shamsuddin Azeemi
“Baraan-e-Rehmat” uloom ka khazeena he. Ganj giran maya he. Aksar kitabon ko parhty howy insaan boriyat mehsos karta he. Do chaar safhaat parh kar us ki tashnagi bujh jati he. Jab k azeemi sahib ki seerat ki ye kitaab parhty howy insaan tashnagi mehsos karta he. Wo chahta he k isy mazeed parhay q k har line dusri line aur har safah dusry safah se marboot he. Maloomat se pur ye kitaab qari kin a to nazar idhar udhar hony deti he aur na hi khayal aur ye hi kisi kitaab ki khobi hoti he k wo qari k dil me utar jaye aur wo isy mazeed se mazeed parhney me laga rahe.