Topics

NABOWAT K DASWEN SAAL

Nabowat k daswen saal Haj k liye Makkah aany waly qabail k sardaron se Syedena Huzoor Aleh saalato Wasalam ne rabta kiya aur Islam ki dawat di. Lekin qabaili sardaron mein se kisi ne bhi Huzoor Aleh saalato Wasalam ki baaton par tawajjah nahi di. Quraish ne ye mashoor kar rakha tha k (naozubillah) Muhammad Aleh saalato Wasalam majno ho gaye hain. In ki baaton par tawajjah na di jaye. Lekin Huzoor Aleh saalato Wasalam ne apna mission jari rakha.

Makkah aur Mana k darmiyaan Aqba ki pahari k muqaam par chay afraad Huzoor Aleh saalato Wasalam ki khidmat mein hazir howy. Huzoor Aleh saalato Wasalam ne in se apna tarruf karwaya aur Deen e Islam ki taleemaat pesh kien. Wo chay log Yasrab se aaye the. In k qabeely ka naam Khazraj tha. In logon ne apas mein sulah mashwarah kiya aur in chay logon ne Islam qabool kar liya. Ye log jab madina pohnche to inhen Syedena Huzoor Aleh saalato Wasalam k peghaam ko aam karny ki saadat hasil howi.

Huzoor Aleh saalato Wasalam par jaan o maal qurbaan kar deny waly jaan nisaron k do mashoor tabqey hain. Mahajir aur Ansaar.

Mahajir …… wo bawafa aur mukhlis log jinhon ne Huzoor Aleh saalato Wasalam ki rafaqat ki saadat hasil karny k liye apna sab kuch luta diya.

Ansaar….. wo faraagh dil aur paak batin log hain jin ko Allah Tala k akhri Rasool Huzoor Aleh saalato Wasalam aur sankaron Mahajireen ki maizbani ka sharf hasil howa aur inhon ne is andaaz se mehmaan nawazi ki k is ki nazeer se tareekh k ooraaq yaksar khali hain.

Ye qabeeley zamana jahliyat mein Ansaar nahi kehlatey the jab inhon ne Islam qabool kiya to bargah e Ilahi se inhen is mauziz laqab se nawaza gaya.


BARAN E REHMAT

Khwaja Shamsuddin Azeemi


“Baraan-e-Rehmat” uloom ka khazeena he. Ganj giran maya he. Aksar kitabon ko parhty howy insaan boriyat mehsos karta he. Do chaar safhaat parh kar us ki tashnagi bujh jati he. Jab k azeemi sahib ki seerat ki ye kitaab parhty howy insaan tashnagi mehsos karta he. Wo chahta he k isy mazeed parhay q k har line dusri line aur har safah dusry safah se marboot he. Maloomat se pur ye kitaab qari kin a to nazar idhar udhar hony deti he aur na hi khayal aur ye hi kisi kitaab ki khobi hoti he k wo qari k dil me utar jaye aur wo isy mazeed se mazeed parhney me laga rahe.