Topics
Hazrat Abu Talib ne khutba-e-nikkah parha. Nikkah ke waqt
Huzoor alhe saalato wassalaam ki umar Mubarak pacchees saal thi aur Hazrat
Khadija(r.a) ki umar challis saal thi.
Huzoor alhe saalato wassalaam ki tamaam auladon ki amman
Hazrat Khadija(r.a) hain. Aap(r.a) se do larkey paida hoye. Aik Qasim jin ke
saath Huzoor alhe saalato wassalaam ki kunniyat Abu-ul-Qasim he. Dosrey
Abdullah aur chaar larkiyan paida hoiyen. Hazrat Zainab(r.a), Hazrat
Ruqayya(r.a), Hazrat Kulsoom(r.a), aur Hazrat Fatima(r.a).
Huzoor alhe saalato wassalaam ke teesrey sahab zadey
Ibrahim ki walida Hazrat Maria(r.a) Qabtia hain. Teenon sahab zadey bacchpan hi main
intqaal farma gaye the.
Khwaja Shamsuddin Azeemi
“Baraan-e-Rehmat” uloom ka khazeena he. Ganj giran maya he. Aksar kitabon ko parhty howy insaan boriyat mehsos karta he. Do chaar safhaat parh kar us ki tashnagi bujh jati he. Jab k azeemi sahib ki seerat ki ye kitaab parhty howy insaan tashnagi mehsos karta he. Wo chahta he k isy mazeed parhay q k har line dusri line aur har safah dusry safah se marboot he. Maloomat se pur ye kitaab qari kin a to nazar idhar udhar hony deti he aur na hi khayal aur ye hi kisi kitaab ki khobi hoti he k wo qari k dil me utar jaye aur wo isy mazeed se mazeed parhney me laga rahe.