Topics
Zameen par insane ki paidaish sy qabal jinnat
abaad they.Jinnat bhi achey or burey kaam karney ki salahiyat rakhty hain.Allah
Talah ne achey kamon ka hukum or burey kamon se mana farmaya hey….Allah Talah ki
nafarmani, sarkashi, jhoot, laraai,fasad,qatal or khoon kharaba ye sab burey
kaam hain.
Aahista aahista jinnat main burey kaam
ziyada honey lagy jis se Allah Talah na khush hoye or kai martaba jinnat ko
saza di gai lekin wo nafarmani se baaz na aye…Jab zameen par jinnat ki
sarkashi,nafarmani or fasaad ziyada ho gaya tab Allah Talah ne insan ko
takhleeq kia or usy apni sifaat ka ilm sikhaya.Insan ko zameen par bheja gaya
or hukum diya!
Achey or burey ke darmiyan farq karo.Hum
tumhen sidha raasta dikhaen ge hamary peghambar tumhari aulad ko naik or achey
kamon ka hukum puhchaen ge. Jo shaks sidah raasta ikhtiyar kar ke naik kaam
karey ga is ke liye khouf or gham nahi hoga jo shaks peghambaron ki baat nahi
maney ga wo jawab deh hoga.
Zameen par shukar guzaar bandon ki tarha
raho or naik amal se dosrey insanon ki khidmat or khair khwahi karo… is tarha
tum wo naimatein dobara hasil kar lo ge jo jannat mian hasil thin.
Shaitaan tumhara khula dushman hey…jo koi
shaitaan ked hokey main akar duniya ki mukhtasir zindagi kea ram o asaish ke
liye nafarmani karey ga or burey kamon se dosrey logon ko takleef pohanchai ga wo
shaitaan ka dost or sathi ban kar jahannum main jaye ga.
Riwayat hey ke Allah Talah ne achai or
burai ka farq samjhaney ke liye aik lakh chubis hazaar peghambar is duniya main
bhejey.
“ Ye sarey rasool khush khabri sunaney
waly or agah karney waley bana kar bhejey gaye hain takey in ko mabous kar
deney ke baad logon ke paas Allah ke muqabley main koi hujjat na rahey or Allah
behar haal ghalib rehney wala or Hakeem o dana o hey.” (Surat Nissa-Ayat 165)
Hazrat Adam(a.s), Hazrat Nuh(a.s), Hazrat
Ibrahim(a.s), Hazrat Ismail(a.s), Hazrat Ishaaq(a.s) Hazrat Musa(a.s), Hazrat
Isah(a.s) or akhri peghambar Hazrat Muhammad Salallahu Aleh Wasalam or dosrey
tamam peghambaraan Alehimusalam ne tuwheed ke sath sath rawadari ki taleemat de
hain.
Banda ye jaan ley ke hum makhlooq hain h
umraa khaliq Allah Talah hey or h umraa khaliq ye chahta hey ke makhlooq khush rahey
puri nou e insani pur sukoon or pur aman zindagi guzarey. Sab aik dosrey se
muhabbat karen, aik dosrey ko nuqsaan na pohanchain.Buzurg khawateen o hazraat
ka adab karen.Waldain ka ehteraam Karen.Bachoon se shafqat se paish ayen.Bila
tafreek rang o nasal, mazhab o millat or zaat o qoam aik dosrey ki izzat or jan
o maal ka ehteraam Karen.
Har insaan ke do wujood hain or kainat
main mojood har makhlooq ke bhi do wujood ya do rukh hain.
Isi tarha zameen bhi makhlooq hey…is ke
bhi do wujood ya do jism hain.
Jis tarha maadi wujood main mukhtalif
gasses ka baraahe rast amal dakhal hey or maadi wujood ki wareedon or sharyanon
main khoon daor raha hey…isi tarha zameen ke maadi wujood main bhi gasses ka
baraahe rast amal dakhal hey or zameen ki wareedon or sharyanon main bhi
energy,tawanai or pani door raha hey….zameen ke uppar jo abadian hain…. Har
waqt in main taghayyur hota rehta hey.
Gool karon (Ring) ki tarha pahaar hain. Goal
karon (Ring) ki tarha pahaaron ne zameen ko apni giraft main liya hoa hey.zameen
musalsal mehwari or toulani gardish main safar kar rahi hey….is gardish ko
parhaar ke goal karey control kartey hain….ye pahaar mekhon ki tarha zameen
main garey hoye hain.
“ Hum ne zameen ko farsh banaya or
paharoon ko mekhon ki tarha gaar diya.”(Surat Naba-Ayat 6-7)
Zameen ko udaas dekh kar aik sahib e dil
Allah Talah ke bandey ne zameen se pocha aye meri Maa ! tu kiyun be qarar he?
Kiyun udaas hey or kiyun pareshan he?
Zameen ki ankhein pani ban gain zameen
laraztey hoye or rotey hoye boli! Merey bache!
“Main bhi tumhari tarha ka aik wujood
hoon….jis tarha tumhary do wujood hain isi tarha merey bhi do wujood hain….jis
tarha tumhary jism par phorey phunsian nikalti hain or jis tarha tumhary jism
main saraand phail jati hey or jis tarha tumhary jism zehriley ho jatey
hain….isi tarha mery zahir wujood main bhi tumhary burey amaal se….khud gharzi
se…….haq talfi se….doulat parasti se….or Allah Talah or Allah Talah ke Rasool Aleh
Slato Wasalam ki nafarmani se…..dagh par gaye hain….zakham nasoor ban gaye……”
Zameen ne inkeshaf kiya k mery bachey
jantey hain ke
Zameen par mojood har wujood vibration par
qaim hey. Vibration insaan main bhi hey….vibration darkhton main bhi hey….
Pahaar bhi vibration ke muhtaaj hain…or zameen bhi vibration ki paband hey.
Vibration main aitedaal hota hey to har
cheez theek hey or jab vibration main khalal waqai ho to tawazun bigar jata
hey…..
Vibration zarorat se ziyadah kam ho jaye
to jamood taari ho jata hey….vibration zarorat se ziyadah barh jaye to tabahi
phail jati hey.
Parbadi zameen
par apna derah jama leti hey…. Duniya main kahin bhi koi hadsa paish ata hey….wo
chota ho ya bara….vibration k nizam main miqdaron ki be etedali ki waja se hota
hey.
Jab zameen par
be insaafi,haq talfi, khud gharzi, zulm, na insaafi, doulat parasti, maal o zar
ka lalach or gharor o takabbur itna ziyadah ho jata hey k system main etedaal
qaim na rahey to system toot jata hey. System tootney
ke liye andhiyan chalti hain….tufaan atey hain…. Hurrican….typhon….or
tsunami(samandari zalzaly) atey hain.
Jab koi qoam apni zameen or apney watan se
muhabbat nahi karti to darasal wo zameen k tahaffuzzat se khud ko door karti
hey….or Allah Talah ka banaya hoa qanoon aisy logon ki madad nahi karta.
Jab koi qoam elahi qawaneen se inheraaf
karti hey to darasal wo qudrat ke kamon main dakhal andazi karti hey.
Qudrat is ko system se bahir phaink deti
hey….zameen to mojood rehti hey….lekin Adam zaad halakat ke gehrey garhon main
dafan ho jata hey.
Moujoda surat e haal ye hey ke maadi
istehkaam ke liye insaani qadren pamaal ho rahi hain……har fana ho janey wali
cheez par bharosa kar liya gaya hey…..aarzi asaish o aram or zar parasti
zindagi ka maqsad ban gaya hey.
Anbia Alehimusalam ki taleemat se
ikhtelaf…tafarqe bazi….milawat….qatal o ghaarat…..zameen par fasaad….qudrat se
inheraaf hey.
Qudrat se inheraaf ka matlab ye hey ke
admi qudrat ka tawwun nahi chahta.
Is waqt bhi nou insaani mustaqbil ke
khofnak tasadum ki zad main hey.zameen apni baqa ki talash main laraz rahi hey.Andhiyan
chal rahi hain, samandari toufan arahey hain….kiyun ke insaan qudrat se inheraaf
kar raha hey.
Atomi zakhair main izafa ho raha hey jiska
manfi istemal nasbul ain bana liya gaya hey.chalis hazar se ziyadah atom boom
duniya se zindagi ka chiragh gul karne ko tayyar hain. Har taraf mazhabi ,
lasani, or ilaqai taasub ke alaow jal rahe hain.
Khud gharzi aam hogai hey…wazoon ne Allah
Talah ki ayaton ko karobaar ban alia hey….Har admi nasihat karne wala ban gaya
hey….Lekin kisi ko apni islah ki fikar nahi hey……khane piney ki cheezon main
milawat se muashra zehar naak ban gaya hey….taraqqi ke fasun main har admi
bimar hey….Loot ka bazaar garam hey....koi jaadu ke naam par loot raha hey or
koi sehar ke naam par loot raha hey….zindagi bikhar rahi hey….muashra toot raha
hey….
Insaani tarikh mian Huzoor Aleh Slato
Wasalam rawadari ke sab se barey alambardar hain.Qoumi or almi satah par aman
ke qayam or rawadari ke farogh ke liye Rehmatul Lilalameen Huzoor Aleh Slato
Wasalam ki sirat o hayat namona amal
hey.
Moujooda tanazir main mulki satah par bil
khusoos nasli,ilaqai,ghirohi,lasani, mazhabi o maslaki ikhtilafaat,tafarqe ke
khatmey or mukammal taur par aman ke qayam ke liye zarori hey ke….Huzoor Aleh
Slato Wasalam ke Aswa-e-Hasna par amal kia jaye ke yahi insaniyet ke liye namoona
e amal or abdi nijaat hey.
Islam aman ka daayee,sadaqat ka
alambardaar or insaniyet ka payamber hey. Is ki nigah main bani nou insaani ka
har fard masawaat ka mustahiq hey.Wo rang o nasal ke uyoob se paak hey.
Huzoor Aleh Slato Wasalam ne ghair muslim
aqwaam or aqliyaton ke liye muraat, azaadi or mazhabi rawadari par mabni
hidayaat is daur main farmayin ke jab log mazhabi azadi o rawadari se na ashna
the.
Huzoor Aleh Slato Wasalam ne mazhabi
rawadari ki mehaz talqeen hi nahi farmai balke amli iqdamaat bhi
farmaye.Maftooha qoumon or ghair muslim aqliyatoon ko mazhabi rawadari or
mazhabi azadi ki zamanat faraham ki gai.In ke jaan o maal, izat o aabroo or
aqeeda mazhab ka jis qadar tahaffuz kia gaya tarikh aalam is ki misaal paish
karne se qasir hey.
Doctor Muhammad Hameed Ullah
bain-ul-aqwami qanoon ke mahir or sirat nigaar likhte hain:
“ Quran majeed main ye usool milta hey ke
har mazhabi community ko kamil daakhli khud mukhtari di jaye in ko aqaid ki
azadi hasil ho or apni ibadaat wo apni tarz par kar sakain or apne muqadmaat ka
faisla apne hi jajoon ke zarye apne qanoon ke mutabiq karaayen.Kamil daakhli
khud mukhtari ka Quran ki kai Ayaat main zikar he, jin main se aik Ayat ye hey.!
“H umraa hukum tha ke Ehl-e-Injeel is qanoon ke mutabiq
faisla Karen jo Allah ne is main nazil kia hey.”( Surat Al-Maida Ayat-47)
Yani injeel walon ko chahye in qawaid ke
mutabiq ehkaam diya Karen jo Allah Talah ne Injeel main nazil kiye hain.In
ehkaam ke tehat ehde Nabvi Aleh Slato Wasalam hi main abadi ke har guroh ko
khudmukhtari mil gait hi. Jis tarha musalman apne deen , ibadaat , qanooni
moamlaat or deegar umoor main mukammal taur par azad the isi tarha dosrey
mazahib o millat ke logon ko bhi kamil azadi thi.”
Yahood o Nasara ko tawwun o yakjehti ki
dawat di phir ye kaha gaya!
“ Har qoam ke liye Haadi hey.” ( Surat
Ar-Raad Ayat 7)
“ Har ummat ke liye aik Rasool hey.”
(Surat Yunis Ayat 47)
“ Aur Ap se pehle ke buhat se Rasoolon ke
waqiaat hum ne Aap se biyan kiye hain or buhat se Rasoolon ke nahi kiye.”
(Surat Nissa Ayat 164)
Mazhabi rawadari or azadi par mabni ye misali
talemaat aj bhi tamam duniya ke logon ka ehtaram karne or in ko tasleem karne
ka wazeh faisla hey.
“Muslaman hon , Yahoodi hon , Nasara hon
ya Sabi hon , jo koi bhi Allah par or qayamat ke din par Emaan laye or naik
amal kare inka ajar in ke Rab ke paas hey or in par na to koi Khuf hey or na
Gham.” (Surat Al-Baqarah Ayat 62)
Tamaam mazahib ke peero karon main bahimi
ehtaram o rawadari ka jazba paida karna….or sab ko aik ho jane or muttahid ho
kar Allah Talah ki rassi mazbooti se pakarney ki dawat Islam hey.
:Usi taraqe par chalne ki hidayat
Ibrahim(a.s) ne apni aulad ko di thi or isi ki wassiyat Yaqub(a.s) apni aulad
ko kar gaye the k emery bachon! Allah ne tumhare liye yahi Deen pasand kia hey.
Lehaza marte dam tak muslim hi rehna.” (Surat Al-Baqarah Ayat 132)
Islam batata hey ke tamaam makhlooq Allah
Talah ka kunba hey. Jo mazhab har makhlooq ko Allah Talah ka kunba samjhe wo
bhala makhlooq ko nahaq nuqsan kaise pohancha sakta hey.Mazhab sab ke liye
sarapa-e-rehmat , aman or salamti hey.Deen-e-Islam ye hey ke ……Hum dosrey
insaanon ki jaan o maal or izat o aabroo ka ehtaram Karen. Kisi dosrey ke
mazhab or aqeedeh ko majroh karne ki Islam ijazat nahi daita.
Hum hab rang o nasal or mukhtalif mazahib
ke bawajood Allah Talah ka diya hoa aik hi pani peety hain….Allah Talah ki di
hoi hawa se mushtarka taur par zinda hian….Suraj ki roshni sab ke liye yaksan
hey....Hum sab aik hi madey se takhleeq hote hain….Hum sab ke gham , khushi ,
jazbaat or ehsasaat yaksan hain….Hum sab is duniyan main aatey hain….muqarrarah
waqt tak zinda rehte hain….or phir is duniya se chale jatey hain….Hum chahiye
ke zindagi ke mukhtasir waqfe ko pyar muhabbat , ittefaaq or bhi charey ki
tasveer bana dain….or khush rahen.
27 Junuary 2012
Markazi Muraqba Hall-Karachi
Khwaja Shamsuddin Azeemi
“Baraan-e-Rehmat” uloom ka khazeena he. Ganj giran maya he. Aksar kitabon ko parhty howy insaan boriyat mehsos karta he. Do chaar safhaat parh kar us ki tashnagi bujh jati he. Jab k azeemi sahib ki seerat ki ye kitaab parhty howy insaan tashnagi mehsos karta he. Wo chahta he k isy mazeed parhay q k har line dusri line aur har safah dusry safah se marboot he. Maloomat se pur ye kitaab qari kin a to nazar idhar udhar hony deti he aur na hi khayal aur ye hi kisi kitaab ki khobi hoti he k wo qari k dil me utar jaye aur wo isy mazeed se mazeed parhney me laga rahe.