Topics

Hijrat Habsha


Islam ke ibtedai dour main do hastiyan aisi hen jinhon ne Islam ke liye maali lehaaz se buhat qurabani di hey.In main se aik Hazrat Khadija(r.a) aur dosrey Hazrat Abu Bakar Siddique(r.a) hain. Islam se pehle ye donon afraad Makkah ke maal daar logon main shumaar hotey the. Lekin jab ye donon is dunya se rukhsat hoye to bilkul khaali hath the kiyun ke inho ne apni saari doulat Islam ki raah main kharch kardi thi.

Hazrat Umar(r.a)bin Khitaab jab musalmaan hoye to apne khandaan ko dawat di aur qabila “ Bani Aadi” ke buhat se afraad musalmaan ho gaye. Quraish ne musalmaanon ki tadaad main izafa hotey hoye dekha to inhe tashweesh hoi. Wo jante the ke Hazrat Hamza(r.a) aur Hazrat Umar(r.a)bin Khitaab Syedena Huzoor Aleh saalato Wasalam ki himaayat kartey hain lehaaza wo musalmaanon ki aala ul elaan takleef nahi ponhcha saktey the.

Mushrikeen ne ye faisla kia ke musalmaanon ka social boycott kia jaye aur in par arsa-e-hayaat tang kardia jaye. Kuffar ne ye pabandi laga di ke musalmaanon se na koi cheez khareedi jaye aur na hi inhe koi cheez bechi jaye.

Is badandi ne musalmaanon ki zindagi ko maflooj kardia. Kuch log jo naye naye musalmaan hoye the wo in masail aur mushkilaat ka muqabla nahi kar sakey.

Huzoor Aleh saalato Wasalam ne faisla kia ke khud Makka main qayaam Karen aur musalmaanon ko Habsha ki taraf rawaana karden. Habsha ka hukmraan kisi mazhab ke manney walon ko eza nahi ponhchata tha wahan mazhab ki mukammal azaadi thi.

Jin logon ne pehli martaba Makka se Habsha ki janib hijrat ki in ki tafseel ye he:

1.Hazrat Jafar(r.a) Bin Abi Talib aur     2. Aap(r.a) ki zouja Hazrat Asma(r.a)

3. Usmaan(r.a) Bin Afaan(Huzoor Aleh saalato Wasalam ke damaad) aur

4. Aap(r.a) ki zouja Hazrat Ruqaiyya(r.a) Bint-e-Huzoor Aleh saalato Wasalam

5.Hazrat Abu Huzefa(r.a) Bin Atba aur 

6. Aap(r.a) ki zouja Hazrat Sehla(r.a) Bint-e-Suhail

7. Hazrat Aamir(r.a) Bin Rabiya aur

8. . Aap(r.a) ki zouja Hazrat Laila(r.a)

9.Hazrat Abu Salma(r.a) Bin Abdullasad aur

10. Aap(r.a) ki zouja Umm-e-Salma(r.a) Bint-e- Ummiya

(ye wohi Umm-e-Salma(r.a) hain jo Abu Salma(r.a) ki wafaat ke baad Huzoor Aleh saalato Wasalam ke aqad main ayin).

11. Hazrat Zubair (r.a) Bin Al Awaam      12. Hazrat Abdullah(r.a) Bin Masood

13. Hazrat Abdul Rehman(r.a) Bin ouf   14. Hazrat Suhail(r.a) Bin Beza

15. Hazrat Masaab(r.a) Bin Umair    16. Hazrat Usmaan(r.a) Bin mazaun

Ye log choti choti jamaat main Makkah se nikal kar samandar ke kinarey pohanche aur kashti par sawaar hokar Habsha ki taraf rawaana ho gaye. Musalmaanon ka ye pehla qafila tha jo Habsha ki taraf rawaana hoa. Jab musalmaan Habsha ke darul khilafa pohanche to Hazrat Jafar(r.a) ki zouja Hazrat Asma(r.a) ne aamad ke pehle din aik larkey ko janam dia. Isi din Habsha ke hukmaran ke ghar bhi larke ki wiladad hoi. Hazrat Asma(r.a) ne raza karana tor par badshah ke larkey ko doodh pilane ki tajweez paish ki jo manzoor ho gai. Is tarha arbon ke riwaaj ke mutabiq Hazrat Jafar(r.a) Bin Abi Talib ka beta aur Habsha ke badshah ka farzand apas main razai bhai ban gaye.

Hijrat karney waley musalmaanon ki pehli jamaat ke baad dosrey musalmaan gorho bhi Makka se Habsha ki taraf rawaana ho gaye aur majmoi tor par aik so nou(109) musalmaan Habsha main jama ho gaye. Ye sab log kashti ke zarye Habsha pohanche the.

Quraish Ki Sifaarat:

Quraish ko jab ye maloom hoa ke musalmaan Habsha ki taraf chale gaye hain lehaza inhon ne do afraad Abu Umro Bin Al Aass aur Ammaara Bin Waleed ko muntakhib kia ke wo Habsha jayen aur badshah se kahen ke wo musalmaanon ko in ke hawaley kardey.

Najashi Badshah Ka Darbaar:

Kuffaar ke aelchiyon ne badshah ke darbaar main pohanch kar kaha

“ Aye Habsha ke badshah! Jin logon ko to ne panah di hey inhon ne apne Abao ajdaad ke Deen ko chor dia hey. Wo kehte hain ke in ka Deen jhota hey aur wo batil ki pairwi kartey hain.”

Habsha ke badshah ne musalmaanon ko darbaar mian bulaya aur kaha

“ Ye do afraad Makka se aye hain aur kehte hain ke tum log khata kaar ho lehaza tum sab ko Makka wapis bhej dia jaye. In logon ka kehna hey ke tumhare ehl-e-khandaan tumhari wapsi ke muntazir hain. Tum log apni safaai main kia kehna chahte ho?”

Hazrat Jafar (r.a) Bin Abi Talib Ka Biyaan:

Hazrat Jafar (r.a) Bin Abi Talib ne kaha

“ Aye badshah! Hum buth parast the, burey kaam karne se hum sarminda nahi hotey they. Hum kamzoron aur tang daston par zulm kartey they. Hum andheron main bhatak rahe the ke hamarey darmiyan aik paighambar Muhammad Bin Abdullah(alhe saalato wassalaam) paida hoye aur inhon ne hamein Khudaaye Wahda La shareek ka raasta dekhiya aur hamein ye dars diya ke hum patharon ki bani hoi mortiyon ki poja na Karen. Burey kamon se tuba kar len aur miskeenon par zulm o sitam na Karen. Hum log in par Eman le aye.

Aye badshah! Ye log pathar aur lakri ke baney hoye buthon ko Khuda kehtey hain aur in ki poja karte hain, maashrey ke na tawan logon par zulm kartey hain. Ye log hamarey paighmabar Aleh saalato Wasalam ko eza pohanchane, pathar maarney aur dashnaam deney main koi kasar utha nahi rakhtey.”

Surat-e-haal wazeh honey ke baad Habshah ke badshah ne hukam diya ke Umro Bin Al Aass aur Ammaara Bin Waleed ke laye hoye tahaif wapis kar diye jayen is tarha Quraish ke numaindey na muraad wapis loot gaye.

Najashi Badshah aur Islam:

Najashi ne Huzoor Aleh saalato Wasalam ki taleemat ke barey main mazeed daryaaft kia. Hazrat Jafar(r.a) ne Habshah ke badshah aur is ke darbaar main hazir dosrey logon ke samney Surat Maryam ki Ayaat tilawat kein. Najashi ye kalaam sun kar be ikhtiyaar ro para aur is ke darbaar main mojood dosrey log bhi roney lagey.Najashi ne kaha:

“ Tumharey paighambar(alhe saalato wassalaam) aik azeem aur sacche insaan hain. Tum log jab tak chaho merey mulk main azaadi se raho, koi tumhain is mulk se nahi nikaley ga.”


BARAN E REHMAT

Khwaja Shamsuddin Azeemi


“Baraan-e-Rehmat” uloom ka khazeena he. Ganj giran maya he. Aksar kitabon ko parhty howy insaan boriyat mehsos karta he. Do chaar safhaat parh kar us ki tashnagi bujh jati he. Jab k azeemi sahib ki seerat ki ye kitaab parhty howy insaan tashnagi mehsos karta he. Wo chahta he k isy mazeed parhay q k har line dusri line aur har safah dusry safah se marboot he. Maloomat se pur ye kitaab qari kin a to nazar idhar udhar hony deti he aur na hi khayal aur ye hi kisi kitaab ki khobi hoti he k wo qari k dil me utar jaye aur wo isy mazeed se mazeed parhney me laga rahe.