Topics
Arab ki waja tasmiyah k mutaliq mukhtalif raye hain.
•
Ahl e lughat bataty hain k arab aur araab k maini fasahat
aur zabaan aawri k hain. Chu k ahle arab apni zabaan aawri k samney duniya ki
digar zubanon ko kamtar samajhty the is liye inhon ne apney aap ko “Arab” aur
duniya ki tamam qoamon ko ajam keh kar pukara.
•
Baaz ki
raye ye hey k arab asal mein arbata tha. Qadeem ashaar mein arab ki bajaye
arbata aaya hey. Arab k maini saami zubanon mein dasht aur sehra k hain. Chu k
arab ka bara hissa dasht-o-sehra hey is liye tamam mulk ko arab kehny lagy.
Jughrafiyai aitbaar se arab aik
jazeera numa hey. Jisky teen aitraaf pani hey aur aik taraf khuski hey. Maghrib
mein beheriya qulzum aa banaye sowez aur beheriya roam hain. Mashriq mein khaleej
faris aur beher amaan hain. Junoob mein beher hind hey aur shumaal mein Iraq
aur Shaam hain.
Arab mehal-o-waqo k aitbaar se duniya k
wast mein waqia hey. Barr-e-aazam europ, Barr-e-aazam Africa aur Barr-e-aazam
asia k fasly yahan se barabar hain isi waja se makka ko naaf zameen kaha jata
hey.
Arab mein koi dariya nahi hey. Paharon
mein chasmey jari rehty hain ye chasmey pheel kar thori daur tak masnoi dariya
ban jaty hain phir registaan mein jazb ho jaty hain ya samandaron mein gir jaty
hain. Arab mein kuch wadiyan bhi hain. Arab k wo hissa jo sahil-e-samandar k
qareeb hey sar sabz-o-shadaab aur zarkhez hey. Arab mein soony aur chandi ki
kaanen bakasrat hain. Quraish ki tijarat ka dar-o-madaar chandni ki tijarat par
tha. Petrol bakasrat hey jis ne saudia arab ko duniya ka ameer tareen mulk bana
diya hey.
Mehl-o-waqo k aitbaar se har muqaam
ki aab-o-hawa mukhtalif hey lekin umooman “ garam khushk” hey. Arab ka shumaar
duniya k garam-o-khushk tareen mumalik mein hota hey. Garmi itni shaded hoti
hey k baaz ukaat bardasht se bahir ho jati hey. Barish bohat kam hoti hey.
Barsaat k mausam mein khabhi kabhaar barish hoti hey. Barish na hony ki waja se
faslen kam hoti hain. Zyada tar ghizai ajnaas bahir k mumalik se aati hain.
Yahan ka mashoor phal khajoor hey.
Ilaaqai lehaaz se arab ko panch
hisso mein taqseem kiya ja sakta hey.
•
Hajaaz 2. Najad 3.Yaman 4.Tahama 5.Al-Arooz
•
Hajaaz….arab ka sab se bara sooba hey. Is
ka kul ruqba derh laakh murabba mile hey. Hajaaz mein aksar hissa registaan aur
sehra par mushtamil hey. Is k mashoor shehar Makka Muzama, Madina Munawara aur
Taif hain.
•
Najad…..is
k maini buland k hain. Ye sooba arab k darmiyan mein waqia hey. Yahan pahar aur
wadiyon ka silsila hey. Ye sooba tail k chasmon ki waja se mashoor hey. Riyaaz
is ka sadar muqaam hey.
•
Yaman….is
sooba ka kul ruqba pichattar hazaar murabba mile hey. Ye sooba sar
sabz-o-shadaab hey. Is ilaqa mein gandum jo aur bajara paida hota hey.
•
Tahama….Tahama
k maini saheli ilaqa k hain ye Hajaaz k junoob mein waqia hey. Nashebi ilaqa
hey. Ye ilaqa medanon aur paharon par mushtamil hey. Is ki waja tasmia garmi ki
intihai shiddat hey.
•
Al-Arooz….
Ye ilaqa Yamama, Amaan aur Behreen par mushtamil hey.
Yamama… Najad aur Yaman k darmiyani
ilaqa ko Yamama kehty hain.
Amaan… ye sooba arab k mashriq mein
hey. Is ka ruqba biyasi hazaar kilo metre hey. Yahan ki khas pedawaar khajoor
hey is ka sadar muqaam Masqat hey.
Behreen…. Behreen ko Al-Ahsa bhi
kehty hain. Ye Amaan aur Khaleej faris k darmiyan waqia hey. Is k baaz hisson
mein nehron se aab pasha hoti hey. Kahin kahin chuny ka pathar bhi milta hey dehraan
mein tail k chasmy hain.
Arab mein qabail nizaam raij tha. Har
qabeely ka aik sardaar hota tha jo sheikh kehlata tha. Qabeely k log sardaar ka
chunao karty the. Qabaili tassub bohat zyada tha. In qabaili mein zara zara si
baat par jhagra ho jata tha aur jang ki surat ikhtiyaar kar lety tha. Agar do
qabeelon mein larai shuro ho jati to wo kai naslon tak jari rehti thi. Isi
tarha aik dafa ghory dorany par Bano Abas aur Bano Zabiyaan k darmiyaan jhagra
howa. Dono qabeely kai barson taka pas mein larty rahe.
Arab k do bary qabeely the:
1. Qabeela Adnan 2. Qabeela Qehtaan
Ye qabeela Hazrat Ismail a.s ki ulaad mein
se tha. In k mashoor sardaar ka naam mizir tha. Isi nisbat se ye mizarmi bhi
kehlaty hain. In k digar qabail, bani bakar, bani qais, bani tameem, bani
taghlab aur bano quraish waghera hain. In tamam qabail mein qabeela quraish
Khany Kaba ka matwali hony ki bina par sab se zyada mauziz samjha jata tha. Huzoor
Aleh Slato Wasalam ka talluq bhi isi qabeely se hey.
Ye log Qehtaan ki ulaad mein se the. In ka
asli watan Yaman tha. Isi nisbat se Yaman kehlaye. Ye Adnani arbon ki nisbat
matmadan the. In ki saltanaten ghasaan aur heerah thien. Is khandaan mein aik
mashoor badshah tha. Jisy shurkh libaas pehanny ki waja se “ Hameer” k naam se
musoom kiya jata tha. Isi waja se qabeela Bani Qehtaan Hameeri bhi khelaye, in
ka qabeela Bano Khaza makka mein abaad tha. Isi tarha madina munawara mein oos aur khasraj bhi isi
qabeela se the.
Arbon ki sakhawat mashoor hey. Agr kehat
saali k aiyaam mein bhi in k paas mehmaan aa jaty to apni sawari ka janwar
zibah kar dety. Jo shakhs in ki panah mein aa jata is ki puri hifazat karty.
Bahadur aur zaheen the. Agarchey wo
likhney parhney se aari the lekin apni yaadasht k bal boty par inhon ne apni
jangon aur digar ahem waqiyaat ki tafsilaat ko mehfooz rakha. Wo sirf apney silsila
nasb se hi puri tarha ba khabar na the balkey apney ghoron k naam aur in k nasb
namon ko bhi puri tarha janty the. Arbon ki danishmandi duniya mein mashoor
thi.
Sher-o-shairi se in ko khaas dilchaspi
thi. Ye shairon ki bari tazeem karty the aur har qabeela apney shair par fakhar
karta tha. Ikaaz k milon mein shair apna kalaam sunaya karty the. In ki shairi
k khaas mozoaat buzurgon ki tareef, ishq o muhabbat aur jangon mein bahaduri k
karnamy hoty the.
Khwaja Shamsuddin Azeemi
“Baraan-e-Rehmat” uloom ka khazeena he. Ganj giran maya he. Aksar kitabon ko parhty howy insaan boriyat mehsos karta he. Do chaar safhaat parh kar us ki tashnagi bujh jati he. Jab k azeemi sahib ki seerat ki ye kitaab parhty howy insaan tashnagi mehsos karta he. Wo chahta he k isy mazeed parhay q k har line dusri line aur har safah dusry safah se marboot he. Maloomat se pur ye kitaab qari kin a to nazar idhar udhar hony deti he aur na hi khayal aur ye hi kisi kitaab ki khobi hoti he k wo qari k dil me utar jaye aur wo isy mazeed se mazeed parhney me laga rahe.