Topics
Huzoor
Aleh saalato Wasalam sehra mein chalty chalty Batan e Nakhla mein pohnchy. Raat
ka sama tha aur kainaat khamoshi mein dobi howi thi. Wahan pohnch kar Peghambar
e Islam Huzoor Aleh saalato Wasalam ne Quran Paak ki tilawat shuru ki. Jinnaat
ne jab suzo gudaaz se bhar por norani awaz mein Quran suna to in ki aik jamaat
khidmat mein hazir howi aur Islam qabool kiya. Quran Paak ki chiyaliswen Surah
mein irshad hey.
“Aur
wo waqt aan pohncha jab hum ne jinno ki aik jamaat ko tumhari janib bheja ta k
wo Qurani Ayaat ko sunen aur jab wo hazir hogaye to inhon ne aik dusrey se kaha
k khamosh ho kar suno. Phir wo apni qoam ki taraf azaab se darany waly ban kar
paltey.”
(
Surat Al-Ahqaaf Ayat-29)
Zakham
zakham jisam, bhook se nidhaal aur khasta haal Huzoor Aleh saalato Wasalam Taif
k shehriyon se maiyoos ho kar Makkah loot aye. Huzoor Aleh saalato Wasalam ne
ye jaan liya tha k Taif musalmanon ki panah gah nahi ban sakta, lekin kisi
qabeely se munsalik hona zarori tha. Lehaza inhon ne Qabeela Zehra k sarbarah
Akhnas Bin Shareek k paas peghaam bheja k wo is se haq jawaar chahty hain.
Akhnas Bin Shareek ne jawab diya agarchey
is ki ye khuwahish hey k wo Muhammad Aleh saalato Wasalam ko panah de
lekin wo aisa karny se mazoor hey q k is ne Qabeela Quraish k sath muhaidah kar
rakha hey.
Huzoor
Aleh saalato Wasalam ne Suhail Bin Umro ko peghaam bhijwaya aur is se kaha k wo
inhen apney qabeely mein jagah de. Suhail Bin Umro Qabeela Quraish se daur ka
talluq rakhta tha. Is ne bhi Huzoor Aleh saalato Wasalam ko panah deny se
inkaar kar diya.
Arab
ka ye dastoor tha k agar koi dushman bhi kisi se panah talab karta to wo usy
panah dety the. Mutam Bin Adi ne Syedena Huzoor Aleh saalato Wasalam k peghaam
ka masbat jawab diya aur apni qoam ko jama kar k hatiyaar bandhy. Huzoor Aleh saalato
Wasalam Makkah mein dakhil howy aur Masjid ul Haraam mein dakhil ho kar tawaaf
kiya. Mutam Bin Adi apni sawari par sawaar tha. Is ne elaan kiya:
“Quraish
k logo! mein ne Muhammad (alhe saalato wassalaam) ko panah de di hey.”
Mutam
Bin Adi aur is k larkon ne Syedena Huzoor Aleh saalato Wasalam k gird halka
bana rakha tha. Kaba mein haazri k baad Huzoor Aleh saalato Wasalam apney ghar
tashreef le gaye.
Khwaja Shamsuddin Azeemi
“Baraan-e-Rehmat” uloom ka khazeena he. Ganj giran maya he. Aksar kitabon ko parhty howy insaan boriyat mehsos karta he. Do chaar safhaat parh kar us ki tashnagi bujh jati he. Jab k azeemi sahib ki seerat ki ye kitaab parhty howy insaan tashnagi mehsos karta he. Wo chahta he k isy mazeed parhay q k har line dusri line aur har safah dusry safah se marboot he. Maloomat se pur ye kitaab qari kin a to nazar idhar udhar hony deti he aur na hi khayal aur ye hi kisi kitaab ki khobi hoti he k wo qari k dil me utar jaye aur wo isy mazeed se mazeed parhney me laga rahe.