Topics

MADINA ME ISLAM KA SAFEER

Aqeedah tauheed se sarfaraz ho kar ye log wapis jany lagy to Huzoor Aleh saalato Wasalam ne in k hamrah madiney mein apna pehla safer bheja jin ka naam Hazrat Musab r.a Bin Umair tha ta k wo musalmaan ko islami ahkaam ki taleem di aur inhen Deen k adaab sikhayen.

Qabil E Rashk Kamiyabi:

Hazrat Musab r.a Bin Umair r.a Madina pohnche aur Hazrat Asaad r.a Bin Zararah k ghar mein qayaam farmaya. Hazrat Asaad r.a Bin Zararah Madiney k mauziz admi the. Phir dono ne mil kar Madina mein josh o kharosh se Islam ki tabligh shuru kar di.

Tabligh k silsily mein in ki kamiyabi ka aik nehayat shandaar waqiya ye hey k aik rooz Hazrat Asaad r.a Bin Zararah Hazrat Musab r.a ko apney hamrah le kar Bani Abdul Shehal aur Bani Zafar k mehalley mein tashreef le gaye aur wahan Bani Zafar k aik bagh mein marq nami aik kuwen k paas beth gaye in k paas chand musalmaan bhi jama ho gaye. In waqt tak Bani Abdul Shehal k dono sardaar yani Saad Bin Maaz aur Asaid Bin Hazeer musalmaan nahi howy the. Inhen jab khabar howi to Saad Bin Maaz ne Asaid Bin Hazeer se kaha:

“Jao aur in dono ko, jo hamary kamzoor logon ko bewaqoof bananey aye hain, hamarey muhalley mein aany se mana kar do chu k Asad Bin Zararah r.a meri khala ka larka hey is liye tumhe bhej raha hon warna ye kaam mein khud anjaam deta.”

Hazrat Asaid R.A Ka Qabool E Islam:

Asaid Bin Hazeer in dono k paas pohnche. Hazrat Asad r.a Bin Zararah ne inhen aatey dekh kar Hazrat Musab r.a ka kaha: “Ye apni qoam ka sardar tumhary paas aaraha hey is k sath ikhlaaq se pesh aana aur haq ka peghaam dena.”

Asaid Bin Hazeer pohnche to in k paas kharey ho kar sakht gusse mein kaha:

“Tum dono yahan q aye ho? Logon ko bewaqoof banatey ho? Yaad rakho! Agar tumhey apni jaan azeez hey to yahan se chaley jao.”

Hazrat Musab r.a ne nehayat tahammul se jawab diya:

“Aap kuch waqt hamarey paas bethen aur hum jo kehtey hain isy sun lijiye. Agar koi baat pasand ajaye to qabool kar len, pasand na aye to qabool na Karen.”

Asaid ne kaha:

“Baat munsifana keh rahe ho.”

Wo beth gaye, Hazrat Musab r.a ne Islam ki baat shuru ki aur Quran Hakeem ki tilawat ki. Quran sun kar inhon ne kaha:

“Ye bohat umdah kalaam hey . tum log is Deen mein jab dakhil karty ho to kiya karty ho.”

Hazrat Musab r.a ne kaha:

“Phele aap ghusal kar len, phir qalma e shahadat parhen aur do rakat namaaz ada Karen.”

Inhon ne uth kar ghusal kiya, qalma e shahadat parha aur do rakat namaaz ada ki aur phir boly:

“Agar mera sathi bhi tumhary peero kaar ban jaye to is ka qabeela musalmaan ho jaye ga aur mein is ko tumhare paas bhejta hon.” (Isharah Saad Bin Maaz ki taraf tha)

Is k baad Hazrat Asaid r.a Bin Hazeer Saad Bin Maaz k paas pohnche. Jo apni qoam k sath mehfil mein bethe the.

Hazrat Asaid r.a Bin Hazeer ko dekh kar boly:

“Ba Khuda mein kheta hon k Asaid r.a tumharey paas jo chehra le kar A raha hey ye wo cheez nahi hey jis chehrey mein wo gaya tha.”

Phir jab Hazrat Asaid r.a Bin Hazeer mehfil mein pohnche to Saad Bin Maaz ne in se dariyaft kiya k tum ne kiya dekha?

Inhon ne kaha:

“Me ne in dono se baat ki wallah mujhe koi harj nazar nahi aya.”

Is k baad Saad Bin Maaz Hazrat Musab r.a ki taraf rawana howy.

Hazrat Saad R.A Ka Qabool E Islam:

Idhar Hazrat Asaid r.a Bin Hazeer ne Hazrat Mausab r.a se phele hi keh diya tha:

“Ba Khuda tumhary paas aik aisa sardaar A raha hey jisky peeche iski puri qoam hey. agar is ne tumhari baat maan li to phir in mein se koi bhi peeche nahi rahe ga.”

Hazrat Mausab r.a ne Saad Bin Maaz se kaha:

“Kyn na aap tashreef rakhen aur sune, agar koi baat pasand aagai to qabool kar len aur agar pasand na aayi to hum aap ki napasandidah baat aap se nahi kahen ge.”

Saad Bin Maaz ne kaha, “Aap insaaf ki baat kehty hain.”

Hazrat Mausab r.a ne in k samny Islam ki talemaat pesh kien.

Isky baad Saad Bin Maaz ne farmaya, “Tum log Islam laty ho to kiya karty ho.”

Inhon ne kaha:

“Aap ghusal kar len, kapre paak kar len, phir haq ki shahadat den, phir do rakat namaaz ada Karen.”

Saad Bin Maaz ne aisa hi kiya aur wapis apni qoam ki mehfil mein tashreef le gaye.

Logon ne dekhtey hi kaha:

“Hum Ba Khuda keh rahe hain k Saad Bin Maaz jo chehrah le kar gaye the is k bajaiye dusra chehra le kar palty hain.”

Phir Hazrat Saad r.a ahle majlis k paas aakar ruky aur boly.

“Aay Bani Abdul Ashal! Tum logon ki ray emery barey mein kiya he?”

Inhon ne kaha:

“Aap hamary sardaar hain, sab se achi sujh bujh k malik hain aur sab se ba barkat pasbaan hain.”

Hazrat Saad r.a ne kaha:

“Acha to suno! mein emaan le ayah on. Ab tumhare mardon aur aurton se meri baat cheet is waqt tak band hey jab tak tum log Allah tala aur is k rasool (alhe saalato wassalaam) par emaan na lao.” In ki is baat ka ye asar howa k qabeela Bani Abdul Ashal ki tamam aurten aur mard musalmaan hogaye.


BARAN E REHMAT

Khwaja Shamsuddin Azeemi


“Baraan-e-Rehmat” uloom ka khazeena he. Ganj giran maya he. Aksar kitabon ko parhty howy insaan boriyat mehsos karta he. Do chaar safhaat parh kar us ki tashnagi bujh jati he. Jab k azeemi sahib ki seerat ki ye kitaab parhty howy insaan tashnagi mehsos karta he. Wo chahta he k isy mazeed parhay q k har line dusri line aur har safah dusry safah se marboot he. Maloomat se pur ye kitaab qari kin a to nazar idhar udhar hony deti he aur na hi khayal aur ye hi kisi kitaab ki khobi hoti he k wo qari k dil me utar jaye aur wo isy mazeed se mazeed parhney me laga rahe.