Topics
Ghaar-e-Hira
mein qayaam se Huzoor Aleh saalato Wasalam ko is qadar khushi howi k Huzoor
Aleh saalato Wasalam ne Ghaar-e-Hira mein jana apna mamool bana liya. Wakfe
wakfe se mutawatir panch saal tak Ghaar-e-Hira le jaty rahe. Huzoor Aleh saalato
Wasalam ka beshtar waqt ibadat aur ghor o fikar mein guzarta tha. Huzoor Aleh saalato
Wasalam ko mehsos hota tha k pusht ki taraf se koi Aap Salallahu Aleh Wasalam ko
pukaar raha hey. Mur kar dekhty to koi nazar nahi aata tha.
Huzoor
Aleh saalato Wasalam ko Ghaar-e-Hira mein jaty howy panch saal hogaye the aur
mah-e-Ramzaan k akhri din the k raat k waqt Ghaar-e-Hira mein aik farishta
mulaqaat k liye hazir howa. Farishte k paas aik dastaweez thi.
Farishte
ne kaha:
“Aye
Muhammad sallallahu alaihi wasallam! mein Jibrail hon. Allah Tala ne Aap
Salallahu Aleh Wasalam tak apna peghaam pohnchany k liye mujhe mamoor kiya hey.
isy parhiye!”
Huzoor
Aleh saalato Wasalam ne farmaya:
“Me
Ummi hon.”
Ye
sun kar Hazrat Jibrail a.s ne Huzoor Aleh saalato Wasalam ko apney dono bazuon
mein le liya aur zor se dabaya aur chor diya. Hazrat Jibrail a.s ne dobara kaha
isy parhiye! Huzoor Aleh saalato Wasalam ne kaha “ mein parha howa nahi hon.”
Hazrat Jibrail a.s ne phir Huzoor Aleh saalato Wasalam ko bazuon mein le kar
phele se ziyadah shiddat se dabaya aur kaha:
“Parh,
Apney raab k naam se, jo Khaliq hey kainaat aur insaan ka, jis ne paida
kiya
insaan ko jamy howy khoon se. Aap ka raab bohat Kareem hey jis ne qalam se ilm
sikhaya, sikhaya admi ko jis ko wo nahi janta tha.”
(
Surat Al-Alaq Ayat-1-5)
Is
k baad Huzoor Aleh saalato Wasalam ghar tashreef laye. Jisam athar par kapkapi
thi. Huzoor Aleh saalato Wasalam ne Hazrat Khadija r.a se farmaya,”Mujhe chadar
urha do,mujhe chadar urha do.”
Kuch
dair baad jab kapkapi door hogai to Hazrat Khadija r.a se pura waqiya biyan
farmaya. Hazrat Khadija r.a ne arz kiya:
“Huzoor
Aleh saalato Wasalam hargiz na ghabraiye, Allah Tala Huzoor Aleh saalato Wasalam
ko ruswa nahi Karen gen. Is liye k Huzoor Aleh saalato Wasalam sila rehmi karty
hain, Huzoor Aleh saalato Wasalam sach bolty hain, logon ki madad karty hain,
Huzoor Aleh saalato Wasalam Ameen hain, naadaron ki khabar giri karty hain,
Huzoor Aleh saalato Wasalam Sadiq aur Ameen hain.”
(Sahi
Bukhaari-Jild Awwal-Kitaab Al Wahi-Hadees 3)
Huzoor
Aleh saalato Wasalam raat ko Ghaar-e-Hira mein tashreef le jaty the aur wahan
Allah Tala k barey mein sochtey rehty the aur subah ghar tashreef le aty.
Huzoor
Aleh saalato Wasalam khabhi khabhi Hazrat Jibrail a.s ki awaaz sunty the:
“……Ya
Muhammad sallallahu alaihi wasallam! Aap Allah Tala k Rasool hain aur mein Allah
Tala ka farishta Jibrail a.s hon.
Ya
Muhammad sallallahu alaihi wasallam! Aap Allah Tala k Rasool hain aur mein Allah
Tala ka farishta Jibrail a.s hon.
Khwaja Shamsuddin Azeemi
“Baraan-e-Rehmat” uloom ka khazeena he. Ganj giran maya he. Aksar kitabon ko parhty howy insaan boriyat mehsos karta he. Do chaar safhaat parh kar us ki tashnagi bujh jati he. Jab k azeemi sahib ki seerat ki ye kitaab parhty howy insaan tashnagi mehsos karta he. Wo chahta he k isy mazeed parhay q k har line dusri line aur har safah dusry safah se marboot he. Maloomat se pur ye kitaab qari kin a to nazar idhar udhar hony deti he aur na hi khayal aur ye hi kisi kitaab ki khobi hoti he k wo qari k dil me utar jaye aur wo isy mazeed se mazeed parhney me laga rahe.