Topics

HAJR E ASWAD KI TANSEEB

Jab tameer mukammal hogai aur Hijr-e-Aswad ko is ki jagah par rakhny ka waqt aaya to apas mein ikhtilaaf hogaya. Log qatal o ghaarat par amadah hogaye. Isi tarha panch rooz guzar gaye aur koi baat tey na howi.

Abu Amiya Bin Mughira O Makhromi ne jo Quraish mein sab se umar raseedah buzurg the, ye raaye di k kal subah jo shakhs sab se phele Masjid-ul-Haraam mein dakhil hoga is ko apna haakim bana lo. Agley rooz subah jab log Masjid-ul-Haraam mein dakhil howy to sab se phele aany waly shakhs Huzoor Aleh saalato Wasalam the. Huzoor Aleh saalato Wasalam ko dekh kar sab logon ne be sakhta kaha.

“Ye to Muhammad Ameen hain, hum in ko haakim bananey par raazi hain, ye to Muhammad Ameen hain, hum in ko haakim bananey par raazi hain.”

Huzoor Aleh saalato Wasalam ne aik chadar mangwai aur is chadar mein Hijr-e-Aswad ko rakh kar farmaya:

“Har qabeely ka sardaar is chadar ko pakar le ta k is saadat se koi qabeela mehroom na rahe.”

Ye faisla sab ne pasand kiya aur sab ne mil kar chadar uthai aur Huzoor Aleh saalato Wasalam ne apney dast-e-mubarrak se Hijr-e-Aswad ko Khana Kaba ki diwaar par nasb kar diya.

         Chonti baar Hazrat Abdullah Bin Zubair r.a ne Bait-ul-Allah ki az sar no tameer karwai.

         Panchwi baar Hajjaj Bin Yusuf ne Bait-ul-Allah shareef ki tameer karwai.

Huzoor Aleh saalato Wasalam jab pantees saal k howe to is waqt Bait-ul-Allah shareef mein latadaad bot rakhe howe the. Huzoor Aleh saalato Wasalam ne tafakkur kiya k

“Khud apney hathon se banaey howy bot ko Khuda kesy tasleem kiya ja sakta he?”

Zaid Bin Umro Ibn-e-Nawafil Hazrat Umar r.a k rishty daar the. Inhon ne bot parasti tarak kar di thi aur boton par nazar ki jany wali qurbaani ko gosht haraam samajhte the. Zaid Ibn-e-Umro Ibn-e-Nawafil Huzoor Aleh saalato Wasalam k qareebi dost the aur mazhabi aur roohani umoor par tabadla e khayal karty the.

Mazhab k mamlaat mein Huzoor Aleh saalato Wasalam ka tajassus barha to Ramzaan ka mahinna Ghaar-e-Hira mein guzaarny ka faisla farmaya. Ghaar-e-Hira jis pahaar par waqiya hey is ka naam “Jibl-e-Noor” hey . Hira k maini “Tehqiqaat” aur Jibl-e-Noor k maini “Roshni ka pahaar” hey. Huzoor Aleh saalato Wasalam khany peeny ka samaan le kar Ghaar-e-Hira mein tashreef le jaty the. Huzoor Aleh saalato Wasalam ki ahliya Hazrat Bi Bi Khadija r.a khany peeny ka samaan Ghaar-e-Hira mein bheej deti thien. Aik mah Ghaar-e-Hira mein ghor o fikar k baad Huzoor Aleh saalato Wasalam wapis tashreef laye, inhon ne phele Kaba ka sath baar tawaaf kiya aur phir ghar tashreef le gaye.


BARAN E REHMAT

Khwaja Shamsuddin Azeemi


“Baraan-e-Rehmat” uloom ka khazeena he. Ganj giran maya he. Aksar kitabon ko parhty howy insaan boriyat mehsos karta he. Do chaar safhaat parh kar us ki tashnagi bujh jati he. Jab k azeemi sahib ki seerat ki ye kitaab parhty howy insaan tashnagi mehsos karta he. Wo chahta he k isy mazeed parhay q k har line dusri line aur har safah dusry safah se marboot he. Maloomat se pur ye kitaab qari kin a to nazar idhar udhar hony deti he aur na hi khayal aur ye hi kisi kitaab ki khobi hoti he k wo qari k dil me utar jaye aur wo isy mazeed se mazeed parhney me laga rahe.