Topics

TAIF KA SAFAR

Huzoor Aleh saalato Wasalam ko Abi Lehab ne qabeela badar karny ka elaan kar diya tha k “Me ne Muhammad (alhe saalato wassalaam) ko apney qabeely se nikaal diya aur aaj k baad h umraa  in se koi talluq nahi.”

Jazeeratul arab mein jab kisi ko qabeely se nikaal diya jata tha to is ki hasiyat is qadar nacheez hojati thi k isy qabaily jarga mein insaaf ki darkhuwast karny ka bhi haq nahi tha. Jazeeratul arab mein qabeely se kharij hony wala shakhs tamam samaji aur maushi haqooq se mehroom hojata tha. Dusrey lafzon mein us se zinda rehny ka haq cheen liya jata tha.

Makkah k sardaron ne Huzoor Aleh saalato Wasalam ki tabligh par bhi pabandi laga di thi. Huzoor Aleh saalato Wasalam ko kisi ijtima se khitaab karny ki ijazat nahi thi. In halaat mein Huzoor Aleh saalato Wasalam ne Makkey k qarb o jawaar k shehar aur bastiyon ka intekhaab kiya ta k wahan k logon ko Allah Tala ka peghaam pohnchaya jaye. Huzoor Aleh saalato Wasalam Taif tashreef le gaye.

Huzoor Aleh saalato Wasalam ne Taif mein Qabeela Saqeef k sardaron Abdiya Lail, Masood aur Habib se mulaqaat ki aur inhen haq o sadaqat ka peghaam diya. Lekin inhon ne haq o sadaqat ka peghaam qabool karny se inkaar kar diya aur Huzoor Aleh saalato Wasalam k peeche wahan k oobaash larkon ko laga diya. Jo Huzoor Aleh saalato Wasalam par awazen kaste, taaliyan peettey aur gaaliyan dey the. Inhon ne itny patthar maarey k Huzoor Aleh saalato Wasalam k nalain mubarrak (joty) khoon mein bhar gaye. Hazrat Jibrail a.s Ameen hazir howy aur kaha:

“Agar Huzoor Aleh saalato Wasalam ijazat den to basti walon par pahaar ulat diye jayen.”

Rehmat ullil Alameen Huzoor Aleh saalato Wasalam ne farmaya:

“Me makhlooq k liye zehmat nahi rehmat bana kar bheja gaya hon. mein umeed karta hon k Allah Tala in ki naslon se aisy bandy paida farmayen ge jo sirf aik Allah ki ibadat Karen ge.”

ANGOORON KA BAGH:

Zakhmon se choor Huzoor Aleh saalato Wasalam ne aik bagh mein panah li. Is bagh k malik do bhai Atba Bin Rabiya aur Sheeba Bin Rabiya the. Huzoor Aleh saalato Wasalam ko laho lahaan dekh kar inhon ne apney nasraani ghulaam ka hath Huzoor Aleh saalato Wasalam ki khidmat mein angoor bheje. Huzoor Aleh saalato Wasalam ne “Bismillah” keh kar angoor liye. Nasraani ghulaam Nainwa ka bashinda tha. Is ne Huzoor Aleh saalato Wasalam se in kalmaat ki babat dariyaaft kiya. Huzoor Aleh saalato Wasalam ne farmaya:

“Tum mery bhai Yunis Bin Mati k shehar k rehny waly ho. Wo bhi meri tarha Allah Tala k Peghambar the.”

Ye sun kar Ibn e Rabiya ka ghulaam “Adaas” Huzoor Aleh saalato Wasalam k qadmon mein jhuk gaya. Adaas ne kaha:

“Agarchey  mery Aaqa Atba ne mujhe ye kaha hey k Huzoor Aleh saalato Wasalam ko angoor pesh karon lekin mein janta hon k wo Huzoor Aleh saalato Wasalam ko is bagh mein panah nahi de ga. mein itna zaror kar sakta hon k Huzoor Aleh saalato Wasalam ko logon ki nazron se bacha kar Taif se bahir le jaon.”

Nasraani khidmatgaar Adaas ne apney wady par amal kiya aur jaise hi raat tareek howi Peghambar e Islam Huzoor Aleh saalato Wasalam ko Taif k shehar se bahir le aaya aur arz kiya:

“Allah k bargazeedah bande! Is shehar se daur nikal jaiye k yahan k log Huzoor Aleh saalato Wasalam k dushman hain.”


BARAN E REHMAT

Khwaja Shamsuddin Azeemi


“Baraan-e-Rehmat” uloom ka khazeena he. Ganj giran maya he. Aksar kitabon ko parhty howy insaan boriyat mehsos karta he. Do chaar safhaat parh kar us ki tashnagi bujh jati he. Jab k azeemi sahib ki seerat ki ye kitaab parhty howy insaan tashnagi mehsos karta he. Wo chahta he k isy mazeed parhay q k har line dusri line aur har safah dusry safah se marboot he. Maloomat se pur ye kitaab qari kin a to nazar idhar udhar hony deti he aur na hi khayal aur ye hi kisi kitaab ki khobi hoti he k wo qari k dil me utar jaye aur wo isy mazeed se mazeed parhney me laga rahe.