Topics
Aftab
ki roshni door tak pohunch kr teez hojati hai islam ka soraj makka mein tolo
hua or kirnen madiny k ufq tak chamken madeny ka naam yasraab tha Huzoor Aleh saalato
Wasalam ny jab yaha A kar qayam farmaya to is ka naam madena tul nabwi yani
peghambar ka sheher hogya or phir mukhtasar ho kar madena sheher hogya ye
sheher muddatoon sy abaad hai qadeem zamany mein yahoodi yahan A kar abaad huy
un ki nasleen kasrat se phelin or yasrab k etraaf in k kabzy mein agay or inhon
ny wahan choty choty qilay bna liya thy.
Ansar
asal mein yaman k rehny waly or quhz=taan k khandan sy hain yaman mein jab
mashoor selaab aya jis ko sel e arm kehty hain ye loog yaman sy nikal kar
yasraab mein abad hogay ye do bhai thy aos or khizrij tamam ansar isi khndan sy
hain ye khandan jab yasraab mein aya to yahood iqtedaar or asar rakhty aas paas
k maqamaat in k qabzy mein thy or malo daulat sy mala maal thy aalo aulad k
qasrat sy bees iqees kabeely thy is liy daur daur tak bastiyan basa li thin.
Ansar
kuch zamany tak in sy alag rhy lekin in ka asar dekh kr bila akhir in k haleef
ban gay ek muddat tak e halat qaim rahi lekin phir ansaar ka khandan phelta
gaya or iqtedar hasil karta raha or yahodiyon ny ansar ka iqtedar dekh kar in
sy kia hua muahida khatam krdia.
Yahodiyon
mein e raees fatyoon peeda hua jo nihayat ayyash tha is ny hukum dia k jis
larki ki shadi ki jay pehly is k shabistan aish mein ayn yahood ny is ko gawara
krlia lekin ansar ny sartabi ki is zamany mein ansar k ek sardar shakhs malik bin
ajlan ki behen ki shadi hoi to ain shadi waly din apney bhai malik bin ajlan k
samny sy be parda guzri malik ko bura laga isny behen ko malamat ki behen ny
kaha k hank al jo kuch hua us sy bhi barh kar hai.
Dosry
din hasb e dastoor jab malik behen dulhan ban kr fatiyon ki khalot gah mein gait
p malik bhi zanana kapry pehen kr saheliyon k sath gaya or fatiyon ko qatal kr
k sham bhag gaya sham mein ghasaniyon ki hukomat thi abu jabla hukumraan tha is
ny haalat suny to ek fooj k sath aya or aos khizrij k raosa ko bula kr in ko
inamaat sy nawaza phir rosay yahood ki dawat ki or in ko dhoky sy qatal kardiya
is tarhan yahood ka zor toot gaya or ansaar ny nay tareeqy sy yasraab mein koowat
hasil ki.
Khwaja Shamsuddin Azeemi
“Baraan-e-Rehmat” uloom ka khazeena he. Ganj giran maya he. Aksar kitabon ko parhty howy insaan boriyat mehsos karta he. Do chaar safhaat parh kar us ki tashnagi bujh jati he. Jab k azeemi sahib ki seerat ki ye kitaab parhty howy insaan tashnagi mehsos karta he. Wo chahta he k isy mazeed parhay q k har line dusri line aur har safah dusry safah se marboot he. Maloomat se pur ye kitaab qari kin a to nazar idhar udhar hony deti he aur na hi khayal aur ye hi kisi kitaab ki khobi hoti he k wo qari k dil me utar jaye aur wo isy mazeed se mazeed parhney me laga rahe.