Topics
Ahmed: Aap ki walida Hazrat Amna r.a ne
naam rakha.
Kunyat: Abu-ul-Qasim
Wiladat: Barooz e peer, 9 Rabi-o-Awwal 1 aam
alfeel, lekin tareekh moiyan nahi hey albatta morkheen ka ye ittefaaq zaror hey
k wiladat 8 se 12 Rabi-o-Awwal mein hi kisi tareekh ko howi, batareekh 20 ya 22
april son 571 eswi.
Walid: Hazrat Abdullah r.a. Muhammad
Salallahu Aleh Wasalam ki wiladat se kuch mah pehle wisaal howa.
Waleeda: Hazrat Amna r.a
Umar 4 se 5 saal: Phela shak sadar ka waqia howa.
Umar 6 saal: Aap Salallahu Aleh Wasalam ki
waleeda ka intiqaal howa.
Umar 8 saal: Aap Salallahu Aleh Wasalam k dada
Abdul Muttalib ka intiqaal howa.
Umar 12 saal: Mulk Shaam tijarat k liye apney chacha
Abu Talib k sath nikly basraa k muqaam par baheera naami raahib ne peghambari
ki nishaniyan pehchaan kar yahudiyon k hasad k khatrey se agah kiya to Aap
Salallahu Aleh Wasalam ko wahin se wapis Makkah bhej diya gaya.
Umar 15 saal: Aap Salallahu Aleh Wasalam ne
jang-e-Fajaar mein hissa liya aur jang mein apney chacchao ko teer utha utha
kar diye. Half-ul-Fozool pesh ai jis mein Aap Salallahu Aleh Wasalam ne bhi
shirkat ki.
Umar 25 saal: Hazrat Khadija-ul-Kubra razi allah
tala anha se Aap Salallahu Aleh Wasalam ki shaadi howi.
Aap
Salallahu Aleh Wasalam ki chaar larkiyan aur do larky Hazrat Khadija razi allah
tala anha se hain (larkon ki tadaad par ikhtilaaf hey k wo aik, do ya teen
hain, qasim r.a par sab ko ittefaaq he, zyada riwayaton ka ittefaaq do larkon
par he) tarteeb ye hey.
Qasim
(r.a) - Zainab (r.a)- Ruqaiya (r.a) - Ume Qulsoom (r.a) -Fatima (r.a) -
Abdullah (r.a).
•
Hazrat
Khadija(r.a) se tamam auladein ibdeta nabowwat se pehle hoyen lekin Hazrat
Fatima(r.a) aur Hazrat Abdullah(r.a) ki wiladat ke waqt par ikhtelaaf hey ke wo
sarfaraz e nabowwat se pehle hoye ya baad main. Tamam baity bachpan hi main
inteqaal kar gaye jab k betiyon ne Islam ka zamana dekha aur musalman hoyen.
•
Aap
Salallahu Aleh Wasalam ke aik bety Hazrat Maria Qabtia(r.a) se bhi the. Un ka
naam Ibrahim(r.a) tha, aur wo bhi bachpan main hey inteqaal kar gaye the. Unki
wiladat aur wisaal Aap Salallahu Aleh Wasalam ke akhir Madni dour main hoi.
Hazrat Maria Qabtia(r.a) Aap Salallahu Aleh Wasalam ki loundi hi rahin.
•
Is ke
ilawa kisi Umul Momineen(r.a) se An Huzoor Salallahu Aleh Wasalam ki koi aulaad
nahi thi.
Umar 35 saal:
Hijre Aswad lagane ka waqia paish aya.
Umar 40 saal:
Aap Salallahu Aleh Wasalam sarfaraz e nabowwat hoye ba tarikh 21 ya 27 Ramzan
ul Mubarak. 23 saal dour e nabowwat ke hain, jisme 13 saal Makki aur 10 saal
Madni dour e nabowwat ke hain.
Saan 1 se 3
nabowwat: Aap Salallahu Aleh Wasalam ne khufia
dawat tabligh ki.
Saan 4 nabowwat:
Eelania dawat tabligh shuro ki.
Saan 5 nobowwat:
Hazrat Arqam(r.a) ka makaan darul Arqam dawat e tabligh ka markaz banaya gaya.
•
Do
hijraten Habsha ki janib hoyen.
Muharram 7 nabowwat ta Muharram 10
nabowwat- Aap Salallahu Aleh Wasalam Bani Hashim aur Bani Muttalib qabail ke
sath Shoaib Abi Talib main mehsoor hoye kyun ke mushrikeen ne Aap logon ka
mukammal baicott kardiya tha.
Saan 10 nabowwat-
Hazrat Khadija(r.a) aur Abu Talib ka inteqaal hoa. Ye saal Am-ul-Hazn kehlaya.
•
Maah-e-Shawwal
main Aap Salallahu Aleh Wasalam ki dosri shadi Hazrat Souda(r.a) se hoi aur isi
maah Aap Salallahu Aleh Wasalam ne bawaja tabligh Taif ka safar kia.
Saan 11 nabowwat-
Maah-e-Shawwal main Aap Salallahu Aleh Wasalam ka nikkah Hazrat Ayesha(r.a) se
hoa. Ye Aap Salallahu Aleh Wasalam ki teesri zouja thin lekin abhi rukhsati
nahi hoi.
•
Waqia
Meeraj ke waqt ka sahi taiyyun nahi lekin shawahid se qayaas hey ke ye akhir
Makki dour ka waqia hey.
Saan 12 nabowwat-
Zil-hajj main pehli baiyat Aqbaa hoi.
Saan 13 nabowwat-
Zil-hajj main dosri baiyat Aqbaa hoi jo ke baiyat Aqba Kubra ke naam se musoom
hey is main 3 7 mard aur 2 aurtein shamil thin aur is baiyat main Yasrab ke
logon ne Aap Salallahu Aleh Wasalam ko mukammal hamayat ka yaqeen dilaya.
Baiyat ke baad musalmaanon ne Yasrab ki janib hijrat shuro kardi.
Saan 14 nabowwat-
27 Safar ki darmiyani raat ko Aap Salallahu Aleh Wasalam ne Hazrat Abu Bakar
(r.a) ke hamra Yasrab ki janib hijrat ki.
8 Rabbi-ul-Awwal ko Qaba pohanche aur wahin
pehli masjid ki bunyad rakhi.
•
Hijri- Mukhtalif
riwayatton ke mutabiq Aap sallallahu alaihi wasallam
12 Rabbi-ul-Awwal ko Yasrab main warid
hoye ( chunke Qaba main Aap Salallahu Aleh Wasalam ke qayaam ka arsa maloom
nahi is liye Madina main dakhil hone ki tarikh ka tayyun nahi) jiske baad is
sheher ka naam Madina-tun-Nabi par gaya. Aur ye saal pehla hijri saal bhi
kehlaya.
•
Masjid
Nabwi ki bunyad rakhi gai.
•
Aap
Salallahu Aleh Wasalam ne Ansaar o Mahajireen main bhai chara qaim kia jisme
kal 90 log shamil the. Ye mawakhaat Hazrat Ins(r.a) Bin Malik ke ghar par hoi.
•
Ramzan-ul-Mubarak
main pehla sarya Saif ul Bahar paish aya jisme Aap Salallahu Aleh Wasalam ne
Hazrat Hamza(r.a) ko ma A
30 mahajireen ke bheja.
•
Maah-e-Shawwal
main Hazrat Ayesha(r.a) rukhsat hokar Huzoor Akram Salallahu Aleh Wasalam ke
paas agayen.
•
Hijri
- Maah-e-Safar main Ghazwa Abwa ya Waddaan paish aya lekin jang nahi hoi.
•
Maah-e-
Rabbi-ul-Awwal main Ghazwa Bawaat paish aya lekin jang nahi hoi.
•
Maah-e-
Rabbi-ul-Awwal main hi Ghazwa Safwaan paish aya lekin jang nahi hoi.
•
Maah-e-Jamadi-ul-Awwal
O Saani main Ghazwa Zil Asheera paish aya lekin jang nahi hoi.
•
Musalmaanon
ka mushrikeen se pehla murka Ghazwa Badar 17 Ramzan-ul-Mubarak ko paish aya jisme
313 musalmaan aur 1000 mushrikeen aik dosrey ke madde muqabil the aur is murka
main 14 musalmaan shaheed hoye jab k 70 mushrikeen qatal hoye.
•
Maah-e-Ramzan
main Ghazwa Badar se sirf 7 din baad Ghazwa Bani Suleem paish aya aur
musalmaano ko kamyabi hoi.
•
Maah-e-Shawwal
main Ghazwa Bano Qainqa paish aya jisne yahudiyon ka muhasira kia gaya aur
unhon ne hathiyaar daal diye aur musalmaan kamyab hoye.
•
Maah
Zillhajj main Ghazwa saweeq paish aya jis main Abu Suffiyaan ne do sou sawaron
ke sath daka zani se milti julti karwai ki aur jawabi karwai ke nateeje main
maal-e-ghanimat satu (saweeq) hath aaya.
•
Hijri
- Mah-e-Muharram mein Ghazwa Zee Amar pesh aaya Ghazwa
Badr o Uhad k darmiyaan sab se bari fooji meham thi is mein larai nahi howi.
•
Mah-e-Rabi-o-Awwal
mein Ghazwa Behraan pesh aaya lekin larai nahi howi.
•
Mah-e-Shawwaal
mein Ghazwa Uhad pesh aaya jis mein 700 musalmaan aur 3000 mushriqeen aik
dusrey k mad e muqabil the aur is mein 70 musalmaan shaheed howy aur 22 ya 37
mushriqeen qatal howy.
•
Uhad se
wapsi par mushriqeen dobara hamla karny ka sochny lagy. Is baat ka andaza Nabi
Kareem Salallahu Aleh Wasalam ko bhi tha. Chunacha 8 shawwaal ko Huzoor Akram
Salallahu Aleh Wasalam ne Madina se aath mile daur hamra al asad par parao
dala. Lekin koi takrao nahi howa aur mushriqeen hamla kiye baghair hi Makkah
loot gaye. Is meham ko tareekh mein Ghazwa Hamra AL Asad k naam se jana jata
hey.
•
Aap
Salallahu Aleh Wasalam ki chonhti shadi Hazrat Hafsa r.a Bint e Hazrat Umar r.a
se howi.
•
Hijri
- Ghazwa Bano Nazeer pesh aaya jis mein Bano Nazeer
(Yahodiyon) ka muhasara kiya gaya aur unhon ne hatiyaar daal diye.
•
Aap
Salallahu Aleh Wasalam ne Um-ul-Masaqeen Hazrat Zainab r.a se shadi ki wo Aap
Salallahu Aleh Wasalam ki panchwi zoja thien jo kuch maheeno baad hi rehlat
farma gayen.
•
Mah-e-Rabi-us-Sani
ya Jamadiyo Awwal mein Ghazwa-e-Najad pesh aaya lekin jang nahi howi.
•
Mah-e-Ramzaan
mein Ghazwa-e-Badr Doum pesh aaya lekin jang nahi hwi.
•
Mah-e-Shawwaal
mein Aap Salallahu Aleh Wasalam ne Ume Salma r.a se shadi ki ye Aap Salallahu
Aleh Wasalam ki chatti zoja thien.
•
Hijri
- Mah-e-Rabi-o-Awwal mein Ghazwa-e-Zomat-al-Jandal pesh
aaya lekin jang nahi hwi.
•
Mah-e-Shawwaal
mein Ghazwa-e-Ahzaab (Khandaq) pesh aaya jis mein mushriqeen ne Madina par
hamla karny ki koshish ki lekin musalmanon ne khandaq khood kar in ko charhai
se baaz rakha is mein 3000 musalmaan aur 10000 mushriqeen aik dusrey k
mad-e-muqabil the aur taqreeban 1 mah tak muhasara raha. Bano Qareeza ne
musalmanon ki madad ka ehad-o-peman tor diya aur musalmanon k khilaaf jang mein
shareeq hogaye.
•
Mah-e-Zil
Qad mein Ghazwa-e-Bano Qareeza pesh aaya jis mein musalmanon ne Bano Qareeza
(Yahudiyon) ka muhasara kiya, inhon ne hatiyaar daal diye. Hazrat Saad r.a Bin
Maaz ko Bano Qareeza ka faisla karny ka ikhtiyaar diya gaya inhon ne siwaye
aurton aur bacchon k sab yahudiyon ki garden marny ka hukum diya.
•
Mah-e-Zil
Qad ya Zil Haj mein Aap Salallahu Aleh Wasalam ki Hazrat Zainab r.a
Bint-e-Hajash se shadi howi ye Aap Salallahu Aleh Wasalam ki saathwi zoja thien
aur is se phele Hazrat Zaid r.a k aqad mein thien inhon ne Hazrat Zainab r.a ko
talaaq de di thi.
•
Hijri
- Ghazwa-e-Bano
Lehyaan pesh aaya lekin jang nahi howi.
6 ya (5). Ghazwa-e-Bani Al Mastaq ya
Ghazwa-e-Marese pesh aaya jang howi ya nahi kuch ilm na ho saka lekin
musalmanon ko kamiyaabi howi.
6 ya (5) - Hijri - Hazrat
Jaweria r.a Bint-e-Haris jo Bano Al Mastalaq k qaidiyon mein lai gayi thien
inhen Aap Salallahu Aleh Wasalam ne azaad kara k nikah kar liya wo Aap
Salallahu Aleh Wasalam ki aathwi zoja thien.
•
Mah-e-Zil Qad mein Sulah Hadeebia ye
Makkah k mushriqeen se aman ka aik muhaida tha.
•
Hadeebia k baad aur Ghazwa-eKhyber
se phele Ghazwa-e-Ghaba ya Ghazwa-e-Qard howa. Is Ghazwa mein Bano Fazarah k
logon ne Huzoor Akram Salallahu Aleh Wasalam k mawaishiyon par daka dala.
Mukhtasar si larai k baad musalmanon ko fateh howi aur mawaishi chura liye
gaye.
•
Hijri - Aap Salallahu Aleh Wasalam ne Hazrat
Ume-e-Habiba r.a Bint e Abi Sufiyaan ko apni zojiyat mein le liya ye Aap
Salallahu Aleh Wasalam ki nawi zoja thien.
•
Mah-e-Muharram ta Safar mein Ghazwa-e-Khyber
pesh aaya aur is mein yahudiyon ko shikast faash howi.
•
Aap Salallahu Aleh Wasalam ne Hazrat
Aafiya r.a Bint e Hai Bin Akhtab ko apney nikah mein le liya ye Aap Salallahu
Aleh Wasalam ki daswi zoja thien aur Aap r.a Khyber k qaidiyon mein lai gayi
thien.
•
(Waqt par ikhtilaaf he)
Mah-e-Rabi-o-Awwal mein Ghazwa-e-Zaat-Ur-Riqa pesh aaya lekin jang nahi howi.
•
Mah-e-Zil Qad mein Aap Salallahu
Aleh Wasalam Makkah Muazzama Umra k liye gaye aur teen rooz qayaam kar k wapis
agaye.
•
Aap Salallahu Aleh Wasalam ne Umra k
safar k doraan Hazrat Memona r.a Bint e Haris se nikah kiya ye Aap Salallahu
Aleh Wasalam ki gaarwhi zoja thien.
•
Hijri – Murqa Mouta pesh aaya, Aap
Salallahu Aleh Wasalam ne is murqa mein shirkat nahi ki. Ye romiyon se pheli
takkar thi is mein do lakh dushmanon k khilaaf faqat teen hazaar musalmaan the.
Musalmanon ne romiyon ko kaafi nuqsaan pohnchaya.
•
Mah-e-Ramzaan ul mubarrak mein Makkah
muazzama fateh howa.
•
Mah-e-Shawwaal mein Ghazwa-e-Hunain
pesh aaya.
•
Mah-e-Shawwaal k akheer mein Ghazwa-e-Taif
pesh aaya. Ye Ghazwa-e-Hunain ka hi phelao tha.q k Ghazwa-e-Hunain k dushman
Taif bhag gaye the.
•
Hijri – Mah-e-Rajab ta Mah-e-Ramzaan ul
mubarrak mein Ghazwa-e-Tabooq pesh aaya is mouqy par Aap Salallahu Aleh Wasalam
ne logon se maal talab kiya.
•
Hijri
– Mah-e-Zil
Qad ta Zil Haj mein Hujjat-ul-Widah howa.
•
Hijri
–
Mah-e-Safar mein Aap Salallahu Aleh Wasalam k marz ka aghaaz howa jo chuda(14)
rooz jari raha.
•
Aap Salallahu Aleh Wasalam 12
Rabi-o-Awwal barooz e peer bawaqt-e-akheer chasht ko apney Khaliq-e-Haqeeqi se
ja mily.
•
Rabi-o-Awwal barooz-e-do shanba
bamutabiq 20 August 570 ko Huzoor Aleh saalato Wasalam ki wiladat ba saadat
howi. (9 Rabi-o-Awwal barooz-e-shanba 22 April 571 bhi Huzoor Aleh saalato Wasalam
ki tareekh-e-pedaish riwayat ki gayi he). Huzoor Aleh saalato Wasalam ki
waleedah Hazrat Amna ne apney bety ki pedaish ki khabar apney susar Hazrat
Abdul Muttalib ko bheji jo tawaaf-eKhaba mein masroof the. Hazrat Abdul
Muttalib ghar aye aur Huzoor Aleh saalato Wasalam ko Khana-e-Kaaba mein le aaye
aur Allah Tala se har qisam k fitna o shar se mehfooz rehny ki dua ki. Hazrat
Abdul Muttalib ne Aap ka naam “Muhammad saw” rakha.
Huzoor
Aleh saalato Wasalam jab duniya mein aaye to sar zameen arab sar sabzo shadaab
hogai.Makkah mein khushali aagai.
Wiladat
k waqt zalzala aaya aur Kasraa Sehanshah-e-Faris k mehal k chuda kungury gir
gaye.
Faris
k aatish kada mein sadiyon se roshan aag bujh gai. Hazrat Usmaan Bin
Abi-Ul-Aass r.a ki waleedah Fatima r.a Bint-e-Abdullah farmati hain:
“Me
Huzoor Aleh saalato Wasalam ki wiladat k waqt Hazrat Amna k paas mojood thi.
mein ne dekha k pury ghar mein noor hi noor tha aur asmaan mein sitare jhuky
howy mehsos howy. Yahan tak k mujhe gumaan howa k asmaan se sitare zameen par A
jayen gen”.
Wiladat
k waqt Huzoor Aleh saalato Wasalam ki waleedah Hazrat Amna ne aik noor dekha,
jis se duniya roshan hogai. Hazrat Abdul Muttalib ne Huzoor Aleh saalato Wasalam
ki wiladat se phele khuwaab mein dekha k aik zanjeer hey jis ka aik sira asmaan
aur dusra sira zameen par hey. Kuch dair baad zameen par darakht ban gaya jis k
har pattay par noor zahir ho raha tha. Quraish mein se kuch log is ki shakhon
ko pakrey howy hain aur kuch log is ki shakhon ko kantna chahty hain. Lekin jo
log shakhon ko kantna chahty the kamiyaab howy.
Riwayat
hey k Hazrat Bi Bi Amna ko khuwaab k zariye bataya gaya k wo aik bargazida
bacchey ki maa hain aur is ka naam “Muhammad” hey.
Wiladat
k sathwen rooz Hazrat Abdul Muttalib ne apney poty ka aqeeqa kiya aur is
taqreeb mein aam dawat ki.
Huzoor
Aleh saalato Wasalam ne teen din tak apni maa ka doodh piya phir chand rooz
Soobia ne doodh pilaya. Soobia Abu Lehab ki kaneez thien. Soobia ne Huzoor Aleh
saalato Wasalam k chacha ko bhi doodh pilaya tha. Ye wok hush qismat khatoon
thien jinhon ne Huzoor Aleh saalato Wasalam ki pedaish ki khabar Abu Lehab ko
sunai to Abu Lehab ne inhen azaad kar diya.
Arbon
mein riwaaj tha k parwarish k liye kam sin bacchon ko sehra mein bheej dety the
ta k sehra k sehat afza muqaam par reh kar bacchon ki nashoonuma achi ho.
Dehaton mein rehny wali arab aurten saal k mukhtalif hisson mein Makkah aati
thien aur sheer khuwaar bacchon ko parwarish k liye sehra mein le jati thien.
Qabeela Bano Saad Bin Bakar ki aurton ne dusry bacchon ko goud liya aur Hazrat
Haleema r.a ne Huzoor Aleh saalato Wasalam ko seeny se lagaya. Inka taluq
Qabeela Saad Bin Bakar se tha. Huzoor Aleh saalato Wasalam ne chaar saal Bano
Saad mein Amma Haleema r.a k paas parwarish pai.
Huzoor
Aleh saalato Wasalam k razai behn bhai k naam ye hain:-
Abdullah,
Aneesa, Huzaifa aur Hazafah in ka naam Sheema bhi hey aur ye isi naam se pukari
jati thien.
Khwaja Shamsuddin Azeemi
“Baraan-e-Rehmat” uloom ka khazeena he. Ganj giran maya he. Aksar kitabon ko parhty howy insaan boriyat mehsos karta he. Do chaar safhaat parh kar us ki tashnagi bujh jati he. Jab k azeemi sahib ki seerat ki ye kitaab parhty howy insaan tashnagi mehsos karta he. Wo chahta he k isy mazeed parhay q k har line dusri line aur har safah dusry safah se marboot he. Maloomat se pur ye kitaab qari kin a to nazar idhar udhar hony deti he aur na hi khayal aur ye hi kisi kitaab ki khobi hoti he k wo qari k dil me utar jaye aur wo isy mazeed se mazeed parhney me laga rahe.