Topics
Jab
Hazrat Haleema r.a Saad ye apney sohar k sath Makkah tashreef layin is waqt
Makkah mein khushk saali thi aur log baran-e-rehmat k muntazir the.
Huzoor
Aleh saalato Wasalam jab duniya mein tashreef laye to kisi dai ne inhen doodh
pilany k liye qabool nahi kiya is ki waja ye thi k Huzoor Aleh saalato Wasalam yateem
the.
Hazrat
Haleema r.a kheti hain k mein ne bhi isi khayal se Huzoor Aleh saalato Wasalam ko
goud nahi liya lekin mujhe ghurbat aur iflaas ki waja se doodh pilany k liye
koi aur baccha nahi mila. Mery khawand ne jab ye dekha k hum khaali hath jayen
gen to hamey sarmindigi hogi. Mery khawand ne kaha tum is bacche ko zaroor le
aoo.
Razaat
k doraan Hazrat Haleema r.a ne ajeeb manaazir dekhe aur wo heraan hoti rahin.
Hazrat Haleema r.a farmati hain:
“Jab
mein ne Rasool (alhe saalato wassalaam) ko goud mein liya isi waqt mera seena
doodh se bhar gaya aur Muhammad (alhe saalato wassalaam) ne khoob sair ho kar
doodh piya. Jab hum ghar se nikly the is waqt khushk saali thi. Muhammad (alhe
saalato wassalaam) ki barkat se khushk saali khush haali mein tabdeel hogai.
Hum ne Muhammad (alhe saalato wassalaam) ko goud mein le kar Allah Tala ki
barkaton ka mushaida kiya. Jab Muhammad (alhe saalato wassalaam) do saal k howy
to bohat samajhdaar aur hoshiyaar larky the tajub hota tha aur in ki feham aur
samajh par heerat hoti thi.”
Khwaja Shamsuddin Azeemi
“Baraan-e-Rehmat” uloom ka khazeena he. Ganj giran maya he. Aksar kitabon ko parhty howy insaan boriyat mehsos karta he. Do chaar safhaat parh kar us ki tashnagi bujh jati he. Jab k azeemi sahib ki seerat ki ye kitaab parhty howy insaan tashnagi mehsos karta he. Wo chahta he k isy mazeed parhay q k har line dusri line aur har safah dusry safah se marboot he. Maloomat se pur ye kitaab qari kin a to nazar idhar udhar hony deti he aur na hi khayal aur ye hi kisi kitaab ki khobi hoti he k wo qari k dil me utar jaye aur wo isy mazeed se mazeed parhney me laga rahe.