Topics
Ko
le kar Makka wapis ja rahi thin to rastey main Abwa ki muqam par Hazrat Amna ka
inteqaal ho gaya. (inna nillah hey wa inna ilehe rajeeon)
Umme Aaiman Huzoor Aleh saalato Wasalam ko Makka
Mukarrama le kar wapis ayin aur Huzoor Aleh saalato Wasalam ko Hazrat Abdul
Muttalib ke supurd kar diya. Walida ki rehlat ke baad Huzoor Aleh saalato Wasalam
mukammal taur par apne dada ki kafalat main agaye. Dada ne bhi shafqat o
muhabbat ka haq ada kar diya. Wo
Huzoor Aleh saalato Wasalam se be had muhabbat karte the aur har waqt Huzoor
Aleh saalato Wasalam ka khayal rakhtey the.
Seerat
nigaron ne likha hey ke Hazrat Abdul Muttalib Huzoor Aleh saalato Wasalam ke
baghair kabhi khana nahi khatey the. Jab dastarkhuwan par khana chun diya jata
tha to Hazrat Abdul Muttalib hukum dete mery bety ko mery paas lao. Huzoor Aleh
saalato Wasalam atey to inhe apne pehlu main bithate. Umda umda khaney utha kar
Huzoor Aleh saalato Wasalam ke samne rakhte aur khane par israr karte.
Hazrat
Abdul Muttalib ke liye diwar-e-Kaba ke saye main masnad bichai jati thi chun k
Hazrat Abdul Muttalib Quraish ke sardar the is liye ehtraman koi shaks bhi
sardar ki masnad par bethne ki jurraat nahi karta tha. Harb Bin Umya jaise
sabhib e haisiyat log bhi is par nahi bithtey the lekin Huzoor Aleh saalato Wasalam
jab bhi dada ke paas ate is masnad par beth jatey. Hazrat Abdul Muttalib ke
betey Huzoor Aleh saalato Wasalam ko masnad se utaarna chahte to Hazrat Abdul
Muttalib kaha karte mery betey ko bethne do kyun ke mjhe umeed hey ke mera ye
beta itne buland muqam par faaiz hoga ke is sy pehle koi Arab is martaba tak
nahi pohancha.
Dada
ki zair-e-kafalat do saal hi guzrey the ke muhabbatain nichawar karne wale dada
ka dast-e-shafqat bhi uth gaya(inna nillah hey wa inna ilehe rajeeon) is din
Makkah walon par ranj ka bahaar toot para. Kyun k in ka mehboob sardar hamesha
ke liye in se juda hogaya tha. Hazrat Abdul Muttalib ke soog main kai dinon tak
Makkah main koi bazaar nahi laga.
Hazrat
Abu Talib aur Zubair Huzoor Aleh saalato Wasalam ke walid Abdullah ke sagey
bhai the. In teenon ki walida ka naam Fatima Bint-e-Umro Mehzumia
tha. Hazrat Abdul Muttalib marte waqt apne ath saal ke yateem putey ko apne
betey Hazrat Abu Talib ke hawale kar gaye. Agarchey Hazrat Abu Talib ne bhatijey aur apne bachon
ke darmiyan farq nahi kia aur dono miyan biwi ne haqeeqi betey ki tarha in ki
parwarish ki lekin maa ki muhabbat aur baap ki shafqat ka naim ul badal nahi
hota.
Huzoor
Aleh saalato Wasalam ath saal ki umar main har subah shehar se bahir nikal jate
aur sham gaye tak akele sehra main rehte the. Aksar auqaat la mehdood asman aur
la matnahi ufaq par nazrein jamaye rakhte aur suraj dhalne se pehle mawaishion
ko le kar wapis abadi main ajatey the. Wo bacha jis ka baap na ho. Jis ki maa
na ho aur jo khelne kodne ki umar main mehnat mushaqqat kare wo zindagi main
khud kufeel(self made) hota hey.
Khwaja Shamsuddin Azeemi
“Baraan-e-Rehmat” uloom ka khazeena he. Ganj giran maya he. Aksar kitabon ko parhty howy insaan boriyat mehsos karta he. Do chaar safhaat parh kar us ki tashnagi bujh jati he. Jab k azeemi sahib ki seerat ki ye kitaab parhty howy insaan tashnagi mehsos karta he. Wo chahta he k isy mazeed parhay q k har line dusri line aur har safah dusry safah se marboot he. Maloomat se pur ye kitaab qari kin a to nazar idhar udhar hony deti he aur na hi khayal aur ye hi kisi kitaab ki khobi hoti he k wo qari k dil me utar jaye aur wo isy mazeed se mazeed parhney me laga rahe.