Topics

Mohar e Nabowat


Huzoor Aleh saalato Wasalam ke chaccha Hazrat Abu Talib aik tajir the. Wo Huzoor Aleh saalato Wasalam ko bara saal ki umar main sham le gaye. Sham ke shehar “ Basri” ke nazdeek in ka kaarwan thehra. Jis jagah kaarwan ne paraao kia wahan aik soomaa main Bahira name rahib rehta tha. Saryani zuban main Bahira ke maani buzurg aur danishwar ke hain.

Arbon ka ye tijaarti qafila jab sooma ke qareeb pohancha to Bahira buzurg ne dekha ke jis darakht ke neeche qafila waley thehrey hain is ki tehniyan khud bakhud jhuk gai hain. Is ne dekha ke aik bara saala larka qafila main shamil he, jis par badal ka tukra saya kiye hoye hey. Bahira ne Huzoor Aleh saalato Wasalam ko bahaisiat akhri nabi pehchan kar Huzoor Aleh saalato Wasalam ke sar parast Hazrat Abu Talib ko nasihat ki ke “ Apne bhatije ki puri puri nigrani Karen.”

Hazrat Abu Talib ne kaha: “ Aap ye kaisey keh sakte hain ke ye baccha wahi hey jis ka tazkira Alhaami kitabon main hey.”

Bahira ne jawab diya:

“ Tum log jab ghaati ke is janib namodaar hoye to koi bhi darakht aisa nahi tha jo jhuka na ho.”


BARAN E REHMAT

Khwaja Shamsuddin Azeemi


“Baraan-e-Rehmat” uloom ka khazeena he. Ganj giran maya he. Aksar kitabon ko parhty howy insaan boriyat mehsos karta he. Do chaar safhaat parh kar us ki tashnagi bujh jati he. Jab k azeemi sahib ki seerat ki ye kitaab parhty howy insaan tashnagi mehsos karta he. Wo chahta he k isy mazeed parhay q k har line dusri line aur har safah dusry safah se marboot he. Maloomat se pur ye kitaab qari kin a to nazar idhar udhar hony deti he aur na hi khayal aur ye hi kisi kitaab ki khobi hoti he k wo qari k dil me utar jaye aur wo isy mazeed se mazeed parhney me laga rahe.