Topics
Meraj
mein peesh any waly waqiyat sun kr dil k andhy kuffar e makka Huzoor Aleh saalato
Wasalam ka mazak urany lagy kuch musalman jin ka eman abhi bhi pikhta tha
murtad hogay hazrat abu bakar sy kuffar e makka ny kaha nabowat k davedar
tumhary sathi ka kehna hai k wo raat hi raat mein beit ul muqaddas ho ay hain.
To
hazrat abu bakar siidique ny jawab diya k:
Agr
hazrat muhammad Aleh Salato wassalam kehty hain to ye durust hai mein to issy
bhi ziyada I par emaan rakhta hoon k farishty in k paas aty hain.
Khwaja Shamsuddin Azeemi
“Baraan-e-Rehmat” uloom ka khazeena he. Ganj giran maya he. Aksar kitabon ko parhty howy insaan boriyat mehsos karta he. Do chaar safhaat parh kar us ki tashnagi bujh jati he. Jab k azeemi sahib ki seerat ki ye kitaab parhty howy insaan tashnagi mehsos karta he. Wo chahta he k isy mazeed parhay q k har line dusri line aur har safah dusry safah se marboot he. Maloomat se pur ye kitaab qari kin a to nazar idhar udhar hony deti he aur na hi khayal aur ye hi kisi kitaab ki khobi hoti he k wo qari k dil me utar jaye aur wo isy mazeed se mazeed parhney me laga rahe.